darKHwast
ta.alluq is tarah toḌā nahīñ karte
ki phir se joḌnā dushvār ho jaa.e
hayāt ik zahr meñ Duubī huī talvār ho jaa.e
mohabbat is tarah chhoḌā nahīñ karte
ḳhafā hone kī rasmeñ haiñ
bigaḌne ke tarīqe haiñ
rivāj-o-rasm tark-e-dostī par sau kitābeñ haiñ
likhā hai jin meñ
rasta vaz.a-dārī kā yūñhī chhoḌā nahīñ karte
ta.alluq is tarah toḌā nahīñ karte
kabhī bulbul guloñ kī ḳhāmushī se ruuTh jaatī hai
par agle saal
sab kuchh bhuul kar phir lauT aatī hai
agar paudoñ se paanī duur ho jaa.e
to ham-sāya daraḳhtoñ kī jaḌoñ ke haath
paiġhāmāt jaate haiñ
mohabbat meñ sabhī ik dūsre ko āzmāte haiñ
magar aisā nahīñ karte
ki har ummīd har imkān miT jaa.e
kahāñ tak khīñchnī hai Dor
ye andāza rakhte haiñ
hamesha chār-dīvārī meñ ik darvāza rakhte haiñ
judā.ī mustaqil ho jaa.e
to ye zindagī zindān ho jaa.e
agar ḳhushbū havāoñ se marāsim munqata.a kar le
to ḳhud meñ Duub kar be-jān ho jaa.e
suno
jiine se muñh moḌā nahīñ karte
mohabbat is tarah chhoḌā nahīñ karte
talluq is tarah toDa nahin karte
ki phir se joDna dushwar ho jae
hayat ek zahr mein Dubi hui talwar ho jae
mohabbat is tarah chhoDa nahin karte
KHafa hone ki rasmen hain
bigaDne ke tariqe hain
riwaj-o-rasm tark-e-dosti par sau kitaben hain
likha hai jin mein
rasta waza-dari ka yunhi chhoDa nahin karte
talluq is tarah toDa nahin karte
kabhi bulbul gulon ki KHamushi se ruTh jati hai
par agle sal
sab kuchh bhul kar phir lauT aati hai
agar paudon se pani dur ho jae
to ham-saya daraKHton ki jaDon ke hath
paighamat jate hain
mohabbat mein sabhi ek dusre ko aazmate hain
magar aisa nahin karte
ki har ummid har imkan miT jae
kahan tak khinchni hai Dor
ye andaza rakhte hain
hamesha chaar-diwari mein ek darwaza rakhte hain
judai mustaqil ho jae
to ye zindagi zindan ho jae
agar KHushbu hawaon se marasim munqata kar le
to KHud mein Dub kar be-jaan ho jae
suno
jine se munh moDa nahin karte
mohabbat is tarah chhoDa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.