darogh-go rawi
dil daroġh-go raavī
fāsle balā ke haiñ
pairahan ke pairā.e
jism kī parastish meñ
justujū mohabbat kī
ḳhud fareb ḳhvāhish meñ
dil daroġh-go raavī
fāsle balā ke haiñ
paikar-e-vafā kis ne
jism se tarāshā hai
zulf-o-āriz-o-lab meñ
pairā kā tamāshā hai
dāġh-e-dil kā sarmāya
kis ne kis ko apnāyā
dil darogh-go rawi
fasle bala ke hain
pairahan ke pairae
jism ki parastish mein
justuju mohabbat ki
KHud fareb KHwahish mein
dil darogh-go rawi
fasle bala ke hain
paikar-e-wafa kis ne
jism se tarasha hai
zulf-o-ariz-o-lab mein
paira ka tamasha hai
dagh-e-dil ka sarmaya
kis ne kis ko apnaya
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-279 p-267)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.