darwaza khula rakhna
dil dard kī shiddat se ḳhūñ-gashta o sī-pāra
is shahr meñ phirtā hai ik vahshī-o-āvāra
shā.er hai ki āshīq hai, jogī hai ki banjāra
darvāza khulā rakhnā
siine se ghaTā uTThe āñkhoñ se jhaḌī barse
phāgun kā nahīñ bādal, jo chār-ghaḌī barse
barkhā hai ye bhādoñ kii, barse to baḌī barse
darvāza khulā rakhnā
āñkhoñ meñ to ik aalam āñkhoñ meñ to duniyā hai
hoñToñ pe magar mohreñ muñh se nahīñ kahtā hai
kis chiiz ko kho baiThā kyā DhūñDne niklā hai
darvāza khulā rakhnā
haañ thaam mohabbat kī gar thaam sake Dorī
sājan hai tirā sājan ab tujh se to kyā chorī
ye jis kī munādī hai bastī meñ tirī gorī
darvāza khulā rakhnā
shikvoñ ko uThā rakhnā, āñkhoñ ko bichhā rakhnā
ik sham.a darīche kī chaukhaT pe jalā rakhnā
māyūs na phir jaa.e, haañ pās-e-vafā rakhnā
darvāza khulā rakhnā
darvāza khulā rakhnā
dil dard ki shiddat se KHun-gashta o si-para
is shahr mein phirta hai ek wahshi-o-awara
shaer hai ki aashiq hai, jogi hai ki banjara
darwaza khula rakhna
sine se ghaTa uTThe aankhon se jhaDi barse
phagun ka nahin baadal, jo chaar-ghaDi barse
barkha hai ye bhadon ki, barse to baDi barse
darwaza khula rakhna
aankhon mein to ek aalam aankhon mein to duniya hai
honTon pe magar mohren munh se nahin kahta hai
kis chiz ko kho baiTha kya DhunDne nikla hai
darwaza khula rakhna
han tham mohabbat ki gar tham sake Dori
sajan hai tera sajan ab tujh se to kya chori
ye jis ki munadi hai basti mein teri gori
darwaza khula rakhna
shikwon ko uTha rakhna, aankhon ko bichha rakhna
ek shama dariche ki chaukhaT pe jala rakhna
mayus na phir jae, han pas-e-wafa rakhna
darwaza khula rakhna
darwaza khula rakhna
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.