daryuza-gari
nīlgūñ charḳh ko ghere hue bhūre bādal
is tarah ghūmte phirte haiñ havā ke ruḳh par
jaise ye saltanat-e-āb ke shahzāde hoñ
jin ke ik hukm se ho jaa.e zamīñ lāla-farosh
dekhnā ye hai ki kab aas kī koñpal phūTe
sūkhī jaatī hai tamannāoñ kī khetī apnī
nilgun charKH ko ghere hue bhure baadal
is tarah ghumte phirte hain hawa ke ruKH par
jaise ye saltanat-e-ab ke shahzade hon
jin ke ek hukm se ho jae zamin lala-farosh
dekhna ye hai ki kab aas ki konpal phuTe
sukhi jati hai tamannaon ki kheti apni
- Book : sheerazah (Pg. 94)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.