das bachche KHush-haal gharana
kabūtar bolā ġhuTarġhūñ
yā allāh maiñ kyā karūñ
do afrād ke kumbe ko
āḳhir maiñ kaise pālūñ
kyā lā.ūñ ḳhud khāne ko
kyā in ke muñh meñ Dālūñ
kis kis se fariyād karūñ
kis kis se daana māñgūñ
rotā kuḌhtā rahtā huuñ
ġhuuñ ġhuuñ ġhuuñ ġhuuñ ġhuTarġhūñ
murġhī bolī uuñ huuñ huuñ
dekh maiñ kitnī moTī huuñ
das afrād kā kumba hai
kaisī ḳhush ḳhush rahtī huuñ
sub.h savere uThtī huuñ
daana sab ko chugātī huuñ
rab kā shukr adā karke
ḳhud izzat se khātī huuñ
tū bhī uTh aur mehnat kar
kyoñ rotā hai ġhuuñ ġhuuñ ġhuuñ
kabutar bola ghuTarghun
ya allah main kya karun
do afrad ke kumbe ko
aaKHir main kaise palun
kya laun KHud khane ko
kya in ke munh mein Dalun
kis kis se fariyaad karun
kis kis se dana mangun
rota kuDhta rahta hun
ghun ghun ghun ghun ghuTarghun
murghi boli un hun hun
dekh main kitni moTi hun
das afrad ka kumba hai
kaisi KHush KHush rahti hun
subh sawere uThti hun
dana sab ko chugati hun
rab ka shukr ada karke
KHud izzat se khati hun
tu bhi uTh aur mehnat kar
kyon rota hai ghun ghun ghun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.