hai dasahrā yādgār-e-azmat-e-hindostāñ
hinduoñ kī ik qadīmī fat.h-o-nusrat kā nishāñ
ik miTī sī ye nishānī daulat-o-iqbāl kī
yaad dilvātī hai un ayyām-e-farruḳh-fāl kī
jab ki thī ham meñ bhī aise zor-o-tāqat kī numūd
hech thī dīvān ro.eñ tan kī jis se hast-o-būd
jab akele uTh khaḌe hote the ham bahar-e-nabard
aur kar dete the apne dushmanoñ ko gard gard
dil meñ himmat haath meñ apne faqat shor-e-al-amāñ
bāñdh kar vo pul samundar ko kiyā ham ne ubuur
jis ko hairāñ dekh kar haiñ aaj bhī ahl-e-shu.ūr
fauj-e-rāvan lā-ta.ad thī reg-e-sahrā kī tarah
aur umañD aa.ī thī vaqt-e-jang dariyā kī tarah
rāvan-e-ḳhuñḳhār aur vo koh-paikar is ke dev
jin kī ḳhūñ-ḳhvārī kā thā saare zamāne meñ ġharīv
qila vo lanka kā jo nā-qābiluttasḳhīr thā
jis pe nāzāñ apne dil meñ rāvan-e-be-pīr thā
the tilā.ī burj jis ke aur murassā bām-o-dar
jin kī choTī par na pahuñche koī murġh-e-tez-par
sauda-e-lāl-o-zamurrad thī vahāñ kī ḳhaak bhī
ik tilism aisā ki qāsir thā jahāñ aur ik bhī
ham ne aise dushmanoñ par fat.h paa.ī thī kabhī
apne hisse meñ bhī ye mojiz-numā.ī thī kabhī
aaj vo din hai ki ham us yaad ko taaza kareñ
rū-e-zebā-e-urūs-e-fat.h pur ġhāza kareñ
mil ke gaa.eñ raam ke gun dil meñ ho josh-e-surūr
qalb-e-sāfī maḳhzan-e-vahdat ho siina rashk-e-tūr
ye dasahrā ashra-e-ishrat hai apne vāste
ḳhāliq-e-kaunain kī ne.amat hai apne vāste