dasahra
har saal jalāte ho rāvan
rāvan lekin kab martā hai
rāvan ko vardān milā hai
rāvan jal ke jī uThtā hai
raam kī mahimā mandir tak hai
rāvan kā partāp jagat bhar
ban-ban phirte raam lakhan aur
rāvan qābiz rāj-bhavan par
raam lakhan kī liilā das din
nit-nit rāvan liilā ho.e
roz jaTā.ū maarā jaa.e
roz haran siitā kā ho.e
vo rāvan lanka kā raaja
us kā jīvan-kāl tretā
kaljug meñ haiñ lākhoñ rāvan
koī afsar koī netā
kab.hūñ bhagvā kab.hūñ safed
rāvan kitne bhes banā.e
nafrat aur dange phailā kar
rāvan kursī ko hathiyā.e
apne andar jo rāvan hai
pahle us kā muul miTā.eñ
aglī baar chunāvoñ meñ phir
rāvan ko har haal harā.eñ
rāvan jab tak gaddī par hai
kyoñ koī tyauhār manā.eñ
aslī rāvan jab hai zinda
kyoñ putloñ ko aag lagā.eñ
har sal jalate ho rawan
rawan lekin kab marta hai
rawan ko wardan mila hai
rawan jal ke ji uThta hai
ram ki mahima mandir tak hai
rawan ka partap jagat bhar
ban-ban phirte ram lakhan aur
rawan qabiz raj-bhawan par
ram lakhan ki lila das din
nit-nit rawan lila hoe
roz jaTau mara jae
roz haran sita ka hoe
wo rawan lanka ka raja
us ka jiwan-kal treta
kaljug mein hain lakhon rawan
koi afsar koi neta
kabhun bhagwa kabhun safed
rawan kitne bhes banae
nafrat aur dange phaila kar
rawan kursi ko hathiyae
apne andar jo rawan hai
pahle us ka mul miTaen
agli bar chunawon mein phir
rawan ko har haal haraen
rawan jab tak gaddi par hai
kyon koi tyauhaar manaen
asli rawan jab hai zinda
kyon putlon ko aag lagaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.