dasht-e-be-aman
tujhe yaad karte karte
tirī raah takte takte
mire ajnabī musāfir
ka.ī din guzar ga.e haiñ
koī shaam aa rahī hai:
koī ḳhushnumā sitāra jo falak pe hañs rahā hai kisī mah-jabīñ kī sūrat
jo nazar ko Das rahā hai
vahī ek isti.āra
tirī yaad rahguzar par mirā ham-safar banā hai
vahī ik ziyā salāmat
sar-e-shām tīrgī meñ
mire kaam aa rahī hai
mire rāste ke aage
kisī raat kā guzar hai
kahīñ vahm sar-ba-sar hai
kahīñ ḳhauf kā asar hai
kahīñ sarsarāhaTeñ haiñ
kahīñ jhunjhunāhaTeñ haiñ
nahīñ dasht-e-hū meñ aahū
nahīñ jañgaloñ meñ jugnū
tirī yaad vo khilaunā jise toḌ bhī na pā.ūñ
kahīñ chhoḌ bhī na pā.ūñ
abhī nisf shab hai guzrī
tujhe yaad kar rahā huuñ tire ḳhvāb dekhtā huuñ
yahī jism hai bichhaunā isī jaañ ko oḌhnā hai
huī sub.h dar pe dastak
tire ḳhvāb jā chuke haiñ
tirī yaad bhī hai ruḳhsat
na.ī aarzū khaḌī hai
na.e log mil ga.e haiñ
mire sāmne hazāroñ
na.e kaam aa paḌe haiñ
isī darmiyāñ tasavvur tirā baar baar aayā
isī rāste pe jānāñ
koī shaam phir hai aa.ī
tirī yaad nūr-paikar
tirī qurbatoñ kā saaya
kahīñ tīrgī meñ gum hai
maiñ azaan de rahā huuñ
kisī dasht-e-be-amāñ meñ
tujhe yaad karte karte
teri rah takte takte
mere ajnabi musafir
kai din guzar gae hain
koi sham aa rahi hai:
koi KHushnuma sitara jo falak pe hans raha hai kisi mah-jabin ki surat
jo nazar ko Das raha hai
wahi ek istiara
teri yaad rahguzar par mera ham-safar bana hai
wahi ek ziya salamat
sar-e-sham tirgi mein
mere kaam aa rahi hai
mere raste ke aage
kisi raat ka guzar hai
kahin wahm sar-ba-sar hai
kahin KHauf ka asar hai
kahin sarsarahaTen hain
kahin jhunjhunahaTen hain
nahin dasht-e-hu mein aahu
nahin jangalon mein jugnu
teri yaad wo khilauna jise toD bhi na paun
kahin chhoD bhi na paun
abhi nisf shab hai guzri
tujhe yaad kar raha hun tere KHwab dekhta hun
yahi jism hai bichhauna isi jaan ko oDhna hai
hui subh dar pe dastak
tere KHwab ja chuke hain
teri yaad bhi hai ruKHsat
nai aarzu khaDi hai
nae log mil gae hain
mere samne hazaron
nae kaam aa paDe hain
isi darmiyan tasawwur tera bar bar aaya
isi raste pe jaanan
koi sham phir hai aai
teri yaad nur-paikar
teri qurbaton ka saya
kahin tirgi mein gum hai
main azan de raha hun
kisi dasht-e-be-aman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.