zard saa.e jo sar-e-sahrā uThe the
raqs karte dandanāte jhūmte
shahr ke dīvār-o-dar ko chāTte
bād-o-bārāñ se lipaTte
chāñdnī rātoñ kī unnābī surangoñ meñ sarakte
dhuup kī saḌkoñ pe lahrāte machalte
Tahniyoñ ke darmiyāñ sargoshiyāñ karte
mahal kī sīḌhiyoñ tak aa ga.e haiñ
aao dekheñ
dast-e-af.ī meñ koī mantar bachā hai
yā nahīñ
zard sae jo sar-e-sahra uThe the
raqs karte dandanate jhumte
shahr ke diwar-o-dar ko chaTte
baad-o-baran se lipaTte
chandni raaton ki unnabi surangon mein sarakte
dhup ki saDkon pe lahraate machalte
Tahniyon ke darmiyan sargoshiyan karte
mahal ki siDhiyon tak aa gae hain
aao dekhen
dast-e-afi mein koi mantar bacha hai
ya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.