dast-e-tah-e-sang-amada
bezār fazā darpa-e-āzār sabā hai
yuuñ hai ki har ik hamdam-e-derīna ḳhafā hai
haañ bāda-kasho aayā hai ab rañg pe mausam
ab sair ke qābil ravish-e-āb-o-havā hai
umDī hai har ik samt se ilzām kī barsāt
chhā.ī huī har daañg malāmat kī ghaTā hai
vo chiiz bharī hai ki sulagtī hai surāhī
har kāsa-e-mai zahr-e-halāhal se sivā hai
haañ jaam uThāo ki ba-yād-e-lab-e-shīrīñ
ye zahr to yāroñ ne ka.ī baar piyā hai
is jazba-e-dil kī na sazā hai na jazā hai
maqsūd-e-rah-e-shauq vafā hai na jafā hai
ehsās-e-ġham-e-dil jo ġham-e-dil kā sila hai
us husn kā ehsās hai jo terī atā hai
har sub.h-e-gulistāñ hai tirā rū-e-bahārīñ
har phuul tirī yaad kā naqsh-e-kaf-e-pā hai
har bhīgī huī raat tirī zulf kī shabnam
Dhaltā huā sūraj tire hoñToñ kī fazā hai
har raah pahuñchtī hai tirī chaah ke dar tak
har harf-e-tamannā tire qadmoñ kī sadā hai
ta.azīr-e-siyāsat hai na ġhairoñ kī ḳhatā hai
vo zulm jo ham ne dil-e-vahshī pe kiyā hai
zindān-e-rah-e-yār meñ pāband hue ham
zanjīr-ba-kaf hai na koī band-bapā hai
''majbūrī o davā-e-giraftārī-e-ulfat
dast-e-tah-e-sañg-āmada paimān-e-vafā hai''
bezar faza darpa-e-azar saba hai
yun hai ki har ek hamdam-e-derina KHafa hai
han baada-kasho aaya hai ab rang pe mausam
ab sair ke qabil rawish-e-ab-o-hawa hai
umDi hai har ek samt se ilzam ki barsat
chhai hui har dang malamat ki ghaTa hai
wo chiz bhari hai ki sulagti hai surahi
har kasa-e-mai zahr-e-halahal se siwa hai
han jam uThao ki ba-yaad-e-lab-e-shirin
ye zahr to yaron ne kai bar piya hai
is jazba-e-dil ki na saza hai na jaza hai
maqsud-e-rah-e-shauq wafa hai na jafa hai
ehsas-e-gham-e-dil jo gham-e-dil ka sila hai
us husn ka ehsas hai jo teri ata hai
har subh-e-gulistan hai tera ru-e-bahaarin
har phul teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har bhigi hui raat teri zulf ki shabnam
Dhalta hua suraj tere honTon ki faza hai
har rah pahunchti hai teri chah ke dar tak
har harf-e-tamanna tere qadmon ki sada hai
tazir-e-siyasat hai na ghairon ki KHata hai
wo zulm jo hum ne dil-e-wahshi pe kiya hai
zindan-e-rah-e-yar mein paband hue hum
zanjir-ba-kaf hai na koi band-bapa hai
majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat
dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-wafa hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 316)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.