ḳhvāboñ kī tarsīl kā kaam
ek muddat se bilā-nāġha jaarī hai
maiñ un logoñ ke liye ḳhvāb dekhtā huuñ
jo ḳhud ḳhvāb nahīñ dekh sakte
maiñ ḳhvāb dekhtā huuñ
aur inheñ kāġhaz par likhtā huuñ
kabhī aadhā
kabhī puurā
aur kabhī puure se bhī ziyāda
kabhī kabhī to ḳhvāb itne ziyāda ho jaate haiñ
ki kāġhaz se bah kar
zamīn par
yā mere kapḌoñ par
yā bed-shēt par
kabhī kabhī to nāshte kī mez par bhī gir jaate haiñ
jinheñ sameTnā ek mushkil kaam hai
log kāġhaz se mere ḳhvāb chāTte haiñ
aur hoñToñ par zabān pherte hue kahte haiñ
aaj bhī namak zarā kam rah gayā hai
yahī ek jumla merī ujrat hai
ye maiñ un logoñ kī baat kar rahā huuñ
jo ḳhud ḳhvāb nahīñ dekh sakte
jo dekh sakte haiñ
un kā ravayya qadre behtar hai
yaad rahe
maiñ ye kaam
ujrat ke baġhair bhī kar letā huuñ
lekin us vaqt mujhe bahut diqqat hotī hai
jab raat āñkhoñ meñ kaT jaatī hai
aur ḳhvāb
duur duur tak dikhā.ī nahīñ dete
us vaqt haath malte hue
niiñd aur ḳhvāb kā intizār
bahut taklīf-dah hotā hai
lekin
kabhī kabhī
jab maiñ so kar uThtā huuñ
to ḳhvāb mere darvāze par dastak dete haiñ
KHwabon ki tarsil ka kaam
ek muddat se bila-nagha jari hai
main un logon ke liye KHwab dekhta hun
jo KHud KHwab nahin dekh sakte
main KHwab dekhta hun
aur inhen kaghaz par likhta hun
kabhi aadha
kabhi pura
aur kabhi pure se bhi ziyaada
kabhi kabhi to KHwab itne ziyaada ho jate hain
ki kaghaz se bah kar
zamin par
ya mere kapDon par
ya bed-sheet par
kabhi kabhi to nashte ki mez par bhi gir jate hain
jinhen sameTna ek mushkil kaam hai
log kaghaz se mere KHwab chaTte hain
aur honTon par zaban pherte hue kahte hain
aaj bhi namak zara kam rah gaya hai
yahi ek jumla meri ujrat hai
ye main un logon ki baat kar raha hun
jo KHud KHwab nahin dekh sakte
jo dekh sakte hain
un ka rawayya qadre behtar hai
yaad rahe
main ye kaam
ujrat ke baghair bhi kar leta hun
lekin us waqt mujhe bahut diqqat hoti hai
jab raat aankhon mein kaT jati hai
aur KHwab
dur dur tak dikhai nahin dete
us waqt hath malte hue
nind aur KHwab ka intizar
bahut taklif-dah hota hai
lekin
kabhi kabhi
jab main so kar uThta hun
to KHwab mere darwaze par dastak dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.