dastak
kis ne darvāza khaTkhaTāyā hai
jā ke dekhūñ to kaun aayā hai
kaun aayā hai mere dvāre par
raat aa.ī kahāñ bichāre par
mere chhappar se Tek kar kāñdhā
kaun istāda hai thakā-māñda
merī kuTiyā meñ aao sustā lo
ye mirā sāġhar-e-shikasta lo
merī chhāgal se ghoñT paanī piyo
ik na.e azm kī javānī piyo
TimTimāte diye kī jhilmil meñ
jot sulgā lo ik na.ī dil meñ
ye mire āñsuoñ kī shabnam lo
paañv ke ābloñ kī marham lo
ye mujhe iftiḳhār do baiTho
sar se ga utaar do baiTho
mere zaanū par apnā sar rakh kar
taaq par kāhish-e-safar rakh kar
niiñd kī anjuman meñ kho jaao
manziloñ ke sapan meñ kho jaao
ḳhvāb vādī-o-kohsār ke ḳhvāb
dasht-o-dariyā-o-ābshār ke ḳhvāb
ḳhvāb añdherī tavīl rāhoñ ke
kunj-e-sahrā kī ḳhema-gāhoñ ke
jahāñ ik sham.a abhī farozāñ hai
jahāñ ik dil tapāñ hai sozāñ hai
tum lipaT jaao in ḳhayāloñ se
aur maiñ khelūñ tumhāre bāloñ se
sub.h jab nuur kā fusūñ barse
suunī pagDanDiyoñ pe ḳhuuñ barse
baag thāme hasīñ irādoñ kī
tum ḳhabar lo phir apne jādoñ kī
jab talak ziist kā safīna bahe
ajnabī ajnabī ko yaad rahe
mujh ko ye apnī yaad de jaao
aao bhī kyuuñ jhijhakte ho aao
tum kahāñ ho kahāñ javāb to do
o mire mehmāñ javāb to do
tum ne darvāza khaTkhaTāyā thā
kis kī dastak thī kaun aayā thā
nīm-shab qāfile sitāroñ ke
tez harkāre abr-pāroñ ke
kis ne nīndoñ ko merī Tokā thā
koī jhoñkā thā koī dhokā thā
kis ne darwaza khaTkhaTaya hai
ja ke dekhun to kaun aaya hai
kaun aaya hai mere dware par
raat aai kahan bichaare par
mere chhappar se Tek kar kandha
kaun istada hai thaka-manda
meri kuTiya mein aao susta lo
ye mera saghar-e-shikasta lo
meri chhagal se ghonT pani piyo
ek nae azm ki jawani piyo
TimTimate diye ki jhilmil mein
jot sulga lo ek nai dil mein
ye mere aansuon ki shabnam lo
panw ke aablon ki marham lo
ye mujhe iftiKHar do baiTho
sar se ga utar do baiTho
mere zanu par apna sar rakh kar
taq par kahish-e-safar rakh kar
nind ki anjuman mein kho jao
manzilon ke sapan mein kho jao
KHwab wadi-o-kohsar ke KHwab
dasht-o-dariya-o-abshaar ke KHwab
KHwab andheri tawil rahon ke
kunj-e-sahra ki KHema-gahon ke
jahan ek shama abhi farozan hai
jahan ek dil tapan hai sozan hai
tum lipaT jao in KHayalon se
aur main khelun tumhaare baalon se
subh jab nur ka fusun barse
suni pagDanDiyon pe KHun barse
bag thame hasin iradon ki
tum KHabar lo phir apne jadon ki
jab talak zist ka safina bahe
ajnabi ajnabi ko yaad rahe
mujh ko ye apni yaad de jao
aao bhi kyun jhijhakte ho aao
tum kahan ho kahan jawab to do
o mere mehman jawab to do
tum ne darwaza khaTkhaTaya tha
kis ki dastak thi kaun aaya tha
nim-shab qafile sitaron ke
tez harkare abr-paron ke
kis ne nindon ko meri Toka tha
koi jhonka tha koi dhoka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.