dastak
hālāt ke kaale bādal ne
mire chhat ke chāñd ko gher liyā
tadbīr ho mumkin ḳhaak koī
ki bāhar raqsāñ tārīkī
aur andar phailī tanhā.ī
darvāze par dastak de kar
ālām kī vahshat hañstī hai
aur sargoshī meñ kahtī hai
ki ab kaise bach pāoge
merī tishna bebākī se
kis se bāteñ kar ke mujh ko
ab tum dhoke meñ rakkhoge
haalat ke kale baadal ne
mere chhat ke chand ko gher liya
tadbir ho mumkin KHak koi
ki bahar raqsan tariki
aur andar phaili tanhai
darwaze par dastak de kar
aalam ki wahshat hansti hai
aur sargoshi mein kahti hai
ki ab kaise bach paoge
meri tishna bebaki se
kis se baaten kar ke mujh ko
ab tum dhoke mein rakkhoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.