dastaras
ubhartī hai mire māthe kī silvaT meñ
shikan dhāge ke khiñchne kī
udheḌe jā rahī huuñ
maiñ bhī din-bhar se
mujhe jab yaad aatā hai
ki maiñ kitnā ulajhtī thī
mirī naanī har ik kapḌe ko
chāhe vo nayā hī kyuuñ na ho
ik baar kam se kam
na jab tak apne hāthoñ se udheḌeñ
aur sī leñ
tab talak un ko sukūñ aatā na thā
maiñ aksar sochtī thī
naqs kyā hotā hai āḳhir
har na.e joḌe ke silne meñ
bhalā dhāge ke pīchhe chhup ke āḳhir
kaun se aise masā.il haiñ
jinheñ maiñ phir udheḌe jā rahī huuñ
aur apne haath se phir se silā.ī kar ke
apne taur apne Dhab se
is kapḌe meñ
kaise rañg bhartī jā rahī huuñ
is tarah kuchh pal safar to
merī apnī zaat ke hamrāh tai paayā
mujhe us pal meñ ḳhud meñ
merī maañ naanī mirī daadī
har ik chehra nazar aayā
ubharti hai mere mathe ki silwaT mein
shikan dhage ke khinchne ki
udheDe ja rahi hun
main bhi din-bhar se
mujhe jab yaad aata hai
ki main kitna ulajhti thi
meri nani har ek kapDe ko
chahe wo naya hi kyun na ho
ek bar kam se kam
na jab tak apne hathon se udheDen
aur si len
tab talak un ko sukun aata na tha
main aksar sochti thi
naqs kya hota hai aaKHir
har nae joDe ke silne mein
bhala dhage ke pichhe chhup ke aaKHir
kaun se aise masail hain
jinhen main phir udheDe ja rahi hun
aur apne hath se phir se silai kar ke
apne taur apne Dhab se
is kapDe mein
kaise rang bharti ja rahi hun
is tarah kuchh pal safar to
meri apni zat ke hamrah tai paya
mujhe us pal mein KHud mein
meri man nani meri dadi
har ek chehra nazar aaya
- Sadiyon Jaise Pal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.