dastur sazi ki koshish
yuuñ to har shā.ir kī fitrat meñ hai kuchh dīvāngī
ġhair zimmedāriyāñ haiñ us kī juzv-e-zindagī
arz-e-sheristān meñ ye shā.irāna ḳhāsiyat
cancer kī tarah se jab phailne baḌhne lagī
muḳhtalif schōl jab jañgī akhāḌe ban ga.e
fikr-o-fan meñ jab nirājī kaifiyat paidā huī
mumlikat meñ zābta koī na jab baaqī rahā
har jagah qānūn kī hone lagī be-hurmatī
ek ik tuk-band ustādoñ ke muñh aane lagā
likh ke sub.h-o-shām nazmeñ be-tukī se be-tukī
kūḌe-karkaT kī tarah har sū nazar aane lageñ
Dheriyāñ hī Dheriyāñ dīvān-e-ḳhās-o-ām kī
had to ye hai ahl-e-machhlī-shahr bhī karne lage
māhī-gīrī chhoḌ kar din raat fikr-e-shā.irī
jin se bohrān-e-ġhizā state meñ paidā huā
qaht-e-māhī se baḌhī har chaar jānib bhuk-marī
chand qaumī dard rakhne vaale ahlurrā.e se
qaum kī nā-gufta-ba-hālat na jab dekhī ga.ī
ek dastūr-ul-amal tayyār karne ke liye
ik kametī 'amn'-sāhab kī sadārat meñ banī
taaki is par chal ke nazm-o-zabt aa.e qaum meñ
taaki kuchh to mo.atadil ho shā.iroñ kī zindagī
dūsre kāmoñ meñ bhī qaumī energy sarf ho
tuk faroshī ke alāva bhī to maqsad ho koī
daur-e-'aflātūn'-o-'tulsī-das' se 'iqbāl' tak
history kal shā.iroñ kī is kametī ne paḌhī
dūsre mulkoñ ke ā.īn-o-zavābit meñ jahāñ
jo munāsib baat thī vo chhāñT kar rakh lī ga.ī
raat din kī saḳht mehnat aur jāñ-sozī ke ba.ad
is kametī ne report apnī bil-āḳhir pesh kī
ḳhāka-e-dastūr-e-qaumī ya.anī vo she.rī report
'amn'-sāhab ne raqam kī thī ba-sinf-e-masnavī
is pe rā.e-āmma ma.alūm karne ke liye
shā.iroñ ko naql dastāvez kī bhejī ga.ī
muḳhtalif ahl-e-suḳhan ne apne apne taur par
raa.e dī dastūr meñ tarmīm yā tansīḳh kī
masnavī meñ ḳhāmiyāñ DhūñDeñ zabāñ kī jā-ba-jā
ek shā.ir ne jo the shāgird-e-nūh-nārvī
saikḌoñ misre badal kar rakh diye kuchh is tarah
nafs-e-mazmūñ nazr ho kar rah gayā islāh kī
un kā kahnā thā ki bandish chust honī chāhiye
sher ke andar balā se ho na fikrī tāzgī
na.at-go hazrāt kā kahnā thā shā.ir ke liye
shart avval hai ki ho jaa.e vo kaTTar maz.habī
āqibat kī baat soche aur munājāteñ likhe
us ke jan meñ kār-āmad shā.irī hai bas vahī
aise shā.ir jo ki haamī the taraqqī-vād ke
in kā kahnā thā ki shā.ir kā suḳhan ho maqsadī
ya.anī pahle se muqarrar-karda mauzuāt par
mumlikat meñ aam kī jaa.e shu.ūrī shā.irī
ḳhvāh sheristān meñ is kā na ho koī vajūd
lāziman dikhlā.ī jaa.e kashmakash tabqāt kī
ik qabīla jo muḳhālif thā shu.ūrī fikr kā
thā taraqqī-vādiyoñ se jis ko buġhz-e-lillāhī
is qabīle kā ye kahnā thā ki shā.ir kā kalām
lāziman ho ik muamma qaid-e-ma.anī se barī
jis ko shā.ir ḳhud na samjhe nazm kar lene ke ba.ad
jis ko paḌh kar gum ho aql-e-maulvī-e-ma.anavī
dekh kar dastūr meñ nazm-o-nasq kā tazkira
saḳht barham ho ga.e kul shā.irān-e-naksalī
in kā nukta thā ki shā.ir fitratan āzād hai
us pe lag saktī nahīñ pābandiyāñ tanzīm kī
zindagī meñ zābta laane ke bilkul the ḳhilāf
saath naksal-vādiyoñ ke dūsre hazrāt bhī
muḳhtasar ye hai ki sab ne rad kiyā dastūr ko
saarī mehnat 'amn'-sāhab kī akārat ho ga.ī
dekh kar nā-āqibat andeshī-e-ahl-e-suḳhan
is tarah goyā huī un kī mohazzab ḳhāmushī
meñDakoñ ko taulnā āsāñ nahīñ hai jis tarah
shā.iroñ ko bhī munazzam karnā mushkil hai yūñhī
yun to har shair ki fitrat mein hai kuchh diwangi
ghair zimmedariyan hain us ki juzw-e-zindagi
arz-e-sheristan mein ye shairana KHasiyat
cancer ki tarah se jab phailne baDhne lagi
muKHtalif school jab jangi akhaDe ban gae
fikr-o-fan mein jab niraji kaifiyat paida hui
mumlikat mein zabta koi na jab baqi raha
har jagah qanun ki hone lagi be-hurmati
ek ek tuk-band ustadon ke munh aane laga
likh ke subh-o-sham nazmen be-tuki se be-tuki
kuDe-karkaT ki tarah har su nazar aane lagen
Dheriyan hi Dheriyan diwan-e-KHas-o-am ki
had to ye hai ahl-e-machhli-shahr bhi karne lage
mahi-giri chhoD kar din raat fikr-e-shairi
jin se bohran-e-ghiza state mein paida hua
qaht-e-mahi se baDhi har chaar jaanib bhuk-mari
chand qaumi dard rakhne wale ahlurrae se
qaum ki na-gufta-ba-haalat na jab dekhi gai
ek dastur-ul-amal tayyar karne ke liye
ek kameti 'amn'-sahab ki sadarat mein bani
taki is par chal ke nazm-o-zabt aae qaum mein
taki kuchh to moatadil ho shairon ki zindagi
dusre kaamon mein bhi qaumi energy sarf ho
tuk faroshi ke alawa bhi to maqsad ho koi
daur-e-'aflatun'-o-'tulsi-das' se 'iqbaal' tak
history kal shairon ki is kameti ne paDhi
dusre mulkon ke aain-o-zawabit mein jahan
jo munasib baat thi wo chhanT kar rakh li gai
raat din ki saKHt mehnat aur jaan-sozi ke baad
is kameti ne report apni bil-aKHir pesh ki
KHaka-e-dastur-e-qaumi yani wo sheri report
'amn'-sahab ne raqam ki thi ba-sinf-e-masnawi
is pe rae-amma malum karne ke liye
shairon ko naql dastawez ki bheji gai
muKHtalif ahl-e-suKHan ne apne apne taur par
rae di dastur mein tarmim ya tansiKH ki
masnawi mein KHamiyan DhunDen zaban ki ja-ba-ja
ek shair ne jo the shagird-e-nuh-narwi
saikDon misre badal kar rakh diye kuchh is tarah
nafs-e-mazmun nazr ho kar rah gaya islah ki
un ka kahna tha ki bandish chust honi chahiye
sher ke andar bala se ho na fikri tazgi
nat-go hazraat ka kahna tha shair ke liye
shart awwal hai ki ho jae wo kaTTar mazhabi
aaqibat ki baat soche aur munajaten likhe
us ke jan mein kar-amad shairi hai bas wahi
aise shair jo ki hami the taraqqi-wad ke
in ka kahna tha ki shair ka suKHan ho maqsadi
yani pahle se muqarrar-karda mauzuat par
mumlikat mein aam ki jae shuuri shairi
KHwah sheristan mein is ka na ho koi wajud
laziman dikhlai jae kashmakash tabqat ki
ek qabila jo muKHalif tha shuuri fikr ka
tha taraqqi-wadiyon se jis ko bughz-e-lillahi
is qabile ka ye kahna tha ki shair ka kalam
laziman ho ek muamma qaid-e-mani se bari
jis ko shair KHud na samjhe nazm kar lene ke baad
jis ko paDh kar gum ho aql-e-maulwi-e-manawi
dekh kar dastur mein nazm-o-nasq ka tazkira
saKHt barham ho gae kul shairan-e-naksali
in ka nukta tha ki shair fitratan aazad hai
us pe lag sakti nahin pabandiyan tanzim ki
zindagi mein zabta lane ke bilkul the KHilaf
sath naksal-wadiyon ke dusre hazraat bhi
muKHtasar ye hai ki sab ne rad kiya dastur ko
sari mehnat 'amn'-sahab ki akarat ho gai
dekh kar na-aqibat andeshi-e-ahl-e-suKHan
is tarah goya hui un ki mohazzab KHamushi
meinDakon ko taulna aasan nahin hai jis tarah
shairon ko bhi munazzam karna mushkil hai yunhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.