daur-e-uftadgi
naġhmagī giit harf-o-navā
nāla-e-shauq saut-o-sadā
ek bahrī siyāsat ke darbār meñ
sar-nigūñ pā-ba-zanjīr laa.e ga.e
saarā sīmāb naqd-o-nazar
sab tilismāt-e-harf-o-hunar
pardā-e-sehr-o-asrār se TuuT kar
maqtal-e-ārzū ban ga.e
vo tarab-zār dil-e-qasr-e-ġham
rāt-bhar jāgtī āgahī ya.anī
aqlīm-jāñ
mashīnoñ ke khañDarāt meñ kho ga.e
vo jo āhañg-e-ālam thā
ḳhvāboñ kā maskan thā aur harf-o-ma.anī kī tathīr thā
apnī bedāriyoñ kī sazā kāTne ke liye
sañg-o-āhan meñ Dhālā gayā
sajda-e-haq
tamannā ke āfāq tak dard ke qāfile
kāba-e-nūr tak ābla-pā.ī ke silsile
zar-e-maġhrib kī mīzān meñ tul ga.e
ham ki is dasht meñ ābla-pā the sadiyoñ se
is raah ke sañg-e-mīl
apne qadmoñ ke hamrāz the
ham bhī is daur-e-uftādgī meñ
bas
tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte rah ga.e
naghmagi git harf-o-nawa
nala-e-shauq saut-o-sada
ek bahri siyasat ke darbar mein
sar-nigun pa-ba-zanjir lae gae
sara simab naqd-o-nazar
sab tilismat-e-harf-o-hunar
parda-e-sehr-o-asrar se TuT kar
maqtal-e-arzu ban gae
wo tarab-zar dil-e-qasr-e-gham
raat-bhar jagti aagahi yani
aqlim-jaan
mashinon ke khanDaraat mein kho gae
wo jo aahang-e-alam tha
KHwabon ka maskan tha aur harf-o-mani ki tathir tha
apni bedariyon ki saza kaTne ke liye
sang-o-ahan mein Dhaala gaya
sajda-e-haq
tamanna ke aafaq tak dard ke qafile
kaba-e-nur tak aabla-pai ke silsile
zar-e-maghrib ki mizan mein tul gae
hum ki is dasht mein aabla-pa the sadiyon se
is rah ke sang-e-mil
apne qadmon ke hamraaz the
hum bhi is daur-e-uftadgi mein
bas
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte rah gae
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 445)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.