daur hamara baqi hai
ik baazī garche maat huī ik duniyā ab bhī baaqī hai
ik sadī hamāre naam se thī ik daur hamārā baaqī hai
manDī meñ sarmā.e kī jab insāñ beche jaate the
jab ismat rusvā hotī thī jab mehnat kā kuchh mol na thā
tab sangīnoñ kī nok pe ham ne amn-pharere bāñdhe the
aise an-gin qisse haiñ har-chand fasāna baaqī hai
taaj uchhāle haiñ ham ne aur taḳht pe jā ke baiThe haiñ
āzādī kī raah meñ ham ne taḳhte phande chūme haiñ
bastī bastī jaag uThī aur daur-e-nau bedār huā
vo daur ki jis kā vā'da thā vo daur abhī par baaqī hai
ek bazi garche mat hui ek duniya ab bhi baqi hai
ek sadi hamare nam se thi ek daur hamara baqi hai
manDi mein sarmae ki jab insan beche jate the
jab ismat ruswa hoti thi jab mehnat ka kuchh mol na tha
tab sanginon ki nok pe hum ne amn-pharere bandhe the
aise an-gin qisse hain har-chand fasana baqi hai
taj uchhaale hain hum ne aur taKHt pe ja ke baiThe hain
aazadi ki rah mein hum ne taKHte phande chume hain
basti basti jag uThi aur daur-e-nau bedar hua
wo daur ki jis ka wa'da tha wo daur abhi par baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.