dawam ke dayar mein
davām ke dayār meñ
davām ke qadīm reg-zār meñ
adam jahāñ sarāb hai
tire mire ka.ī nishāñ taḌap taḌap ke mar ga.e!
ik ajnabī sī ḳhaak par ka.ī zamāñ bikhar ga.e
is ajnabī sī ḳhaak par
sab apnī apnī saañs ko sameT kar nikal paḌe
aliil sī najāt meñ phir apnī ruuh phūñkne
najāt ik fareb hai
ye dasht intizār meñ
davām ke qadīm reg-zār meñ
jihat kā ik mazār hai
ki jis ke gumbadoñ ke hoñT par yahī pukār hai
najāt ik fareb hai
najāt kā hisār kyaa?
davām apnī maut hai
davām se farār kyaa?
dawam ke dayar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
adam jahan sarab hai
tere mere kai nishan taDap taDap ke mar gae!
ek ajnabi si KHak par kai zaman bikhar gae
is ajnabi si KHak par
sab apni apni sans ko sameT kar nikal paDe
alil si najat mein phir apni ruh phunkne
najat ek fareb hai
ye dasht intizar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
jihat ka ek mazar hai
ki jis ke gumbadon ke honT par yahi pukar hai
najat ek fareb hai
najat ka hisar kya?
dawam apni maut hai
dawam se farar kya?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.