Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dawam

MORE BYRazi Haider Gilani

    khile hue gulāb ruḳh

    hare bhare javān tan

    darāz peḌ vaqt zamīn par khaḌe hue

    parkāsh talāsh meñ ummīd sīñchte hue

    lahak chahak fazāoñ meñ

    damak ruvāñ ruvāñ

    dil aur jigar tapāñ tapāñ

    dahaktī shoḳh hasrateñ

    har ek mas gumān

    gudgudī meñ mail umang

    hoñT ke nishān

    aan aan gardanoñ pe nuur ke

    ḳhushbueñ nafas nafas

    zulāl-e-ḳhizr miThās

    davām thā qadam qadam

    kahāñ ga.e

    khile hue gulab ruKH

    hare bhare jawan tan

    daraaz peD waqt ki zamin par khaDe hue

    parkash ki talash mein ummid sinchte hue

    lahak chahak fazaon mein

    damak ruwan ruwan

    dil aur jigar tapan tapan

    dahakti shoKH hasraten

    har ek mas guman

    gudgudi mein mail ki umang

    honT ke nishan

    aan aan gardanon pe nur ke

    KHushbuen nafas nafas

    zulal-e-KHizr ki miThas

    dawam tha qadam qadam

    kahan gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now