dayar-e-KHwab
dayār-e-ḳhvāb ke udhar
musāfiroñ kī bastiyāñ
nashīlī kaalī badliyāñ sharābiyoñ kī Toliyāñ
nasha baḌhātī dhānī dhānī chunarīyāñ
mahakte kuñvāre jism chilmanoñ kī tīliyāñ
sajīlī reshmī paroñ meñ rañg-birañgī titliyāñ
pakī pakā.ī auratoñ meñ shahvatoñ kī bijliyāñ
zarā sī raat bhiig jaa.e,
phir suno añdhere kī zabāñ
thake thakā.e jism hāñptī laTaktī chhātiyāñ
shafīq āñkheñ maaoñ kī rahīm loriyāñ
ḳhizāñ luTātī kahkashāñ,
dhuāñ ugaltī chimniyāñ
dhaḌakte dil, niDhāl jism, dhuup ke makāñ
sunahre surḳh pairahan bhigotī shahr-zādiyāñ
gadele gande pokharoñ meñ tairtī haiñ machhliyāñ
na jaane kis gunāh kī sazā meñ bahtī nadiyāñ
zarā sī raat bhiig jaa.e,
phir suno añdhere kī zabāñ
dayār-e-ḳhvāb ke udhar
musāfiroñ kī bastiyāñ
dayar-e-KHwab ke udhar
musafiron ki bastiyan
nashili kali badliyan sharabiyon ki Toliyan
nasha baDhati dhani dhani chunariyan
mahakte kunware jism chilmanon ki tiliyan
sajili reshmi paron mein rang-birangi titliyan
paki pakai auraton mein shahwaton ki bijliyan
zara si raat bhig jae,
phir suno andhere ki zaban
thake thakae jism hanpti laTakti chhatiyan
shafiq aankhen maon ki rahim loriyan
KHizan luTati kahkashan,
dhuan ugalti chimniyan
dhaDakte dil, niDhaal jism, dhup ke makan
sunahre surKH pairahan bhigoti shahr-zadiyan
gadele gande pokharon mein tairti hain machhliyan
na jaane kis gunah ki saza mein bahti nadiyan
zara si raat bhig jae,
phir suno andhere ki zaban
dayar-e-KHwab ke udhar
musafiron ki bastiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.