waqt ki sadiyan
na jaane kitnī sadiyoñ se zamāna
misāl-e-mauj bahtā aa rahā hai
sukūñ kā rañg us ko kab milā hai
pareshāñ hai ye kyuuñ kis ko patā hai
ye betābī har ik lamhe kī kyā hai
kabhī aisā bhī hotā hai ki dariyā
liye tūfāñ hazāroñ apne andar
sukūñ se par nazar aatā hai bāhar
kabhī aisā bhī hotā hai zamāna
kashākash se bharā hotā hai lekin
nazar aatā hai ik nuqte pe sākin
zamāna kab magar sākin rahā hai
ki chaltā hī rahā hai ye zamāna
damā-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha
kabhī aisā bhī hotā hai ki raahī
nazar aatā hai kuchh ruktā huā sā
hirāsāñ muzmahil thaktā huā sā
magar raahī safar meñ kab rukā hai
ki raahī zindagī kā gar rukegā
yaqīnan apnī manzil par rukegā
magar ye zindagī to be-karāñ hai
nigāh-e-shauq kī manzil kahāñ hai
ki har manzil faqat vahm-o-gumāñ hai
ye hastī jehd-e-ġham kī dāstāñ hai
ba-zāhir hai subuk raftār-o-kamzor
ġhanīm-e-shauq ho madd-e-muqābil
to us kā har-nafas ātish-fishāñ hai
hai yuuñ to zindagī kitnī subuk-rau
ajab ik ek lamhe kī tag-o-dau
ye ik lamha guzartā hī nahīñ hai
magar jab is nazar ke sāmne se
guzartī hai ḳhirad bijlī kī sūrat
dikhā kar ik anokhā sā karishma
to yuuñ mahsūs hotā hai ki jaise
zamāna kitnā aage jā chukā hai
zamāna aur bhī aage baḌhegā
liye bāham subuk-raftār lamhe
guzartā jā.egā sadiyoñ ko rauñde
ḳhirad kī rahnumā.ī ke sahāre
na jaane kitni sadiyon se zamana
misal-e-mauj bahta aa raha hai
sukun ka rang us ko kab mila hai
pareshan hai ye kyun kis ko pata hai
ye betabi har ek lamhe ki kya hai
kabhi aisa bhi hota hai ki dariya
liye tufan hazaron apne andar
sukun se par nazar aata hai bahar
kabhi aisa bhi hota hai zamana
kashakash se bhara hota hai lekin
nazar aata hai ek nuqte pe sakin
zamana kab magar sakin raha hai
ki chalta hi raha hai ye zamana
dama-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha
kabhi aisa bhi hota hai ki rahi
nazar aata hai kuchh rukta hua sa
hirasan muzmahil thakta hua sa
magar rahi safar mein kab ruka hai
ki rahi zindagi ka gar rukega
yaqinan apni manzil par rukega
magar ye zindagi to be-karan hai
nigah-e-shauq ki manzil kahan hai
ki har manzil faqat wahm-o-guman hai
ye hasti jehd-e-gham ki dastan hai
ba-zahir hai subuk raftar-o-kamzor
ghanim-e-shauq ho madd-e-muqabil
to us ka har-nafas aatish-fishan hai
hai yun to zindagi kitni subuk-rau
ajab ek ek lamhe ki tag-o-dau
ye ek lamha guzarta hi nahin hai
magar jab is nazar ke samne se
guzarti hai KHirad bijli ki surat
dikha kar ek anokha sa karishma
to yun mahsus hota hai ki jaise
zamana kitna aage ja chuka hai
zamana aur bhi aage baDhega
liye baham subuk-raftar lamhe
guzarta jaega sadiyon ko raunde
KHirad ki rahnumai ke sahaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.