dead-house
hanūt jismoñ ke kār-ḳhāne meñ
laash rakkhī huī hai kis kī
safed kāġhaz badan pe kis ne
sitam ke sab naam likh diye haiñ
ye phuul kal tak sahar ke āñgan meñ khil rahā thā
magar siyāhī ke tañg halqoñ meñ ghir gayā thaa!
ki ḳhvāb zanjīr ban ga.e the
azaab ta.abīr ban ga.e the
kitāb kā gard-posh jaise shikasta ho kar bikhar gayā ho
ye kis ibārat ke dā.ere ab kisī shahādat ke nāma-bar haiñ
falak se pūchhūñ to kaise pūchhūñ
ki marne vaale ne zindagī kī talāsh kī thī
to maut taqdīr kyuuñ huī thī
vo haath kab tak qalam na hoñge
jo zard jismoñ ko nīl-gūñ zaḳhm de rahe haiñ
hanut jismon ke kar-KHane mein
lash rakkhi hui hai kis ki
safed kaghaz badan pe kis ne
sitam ke sab nam likh diye hain
ye phul kal tak sahar ke aangan mein khil raha tha
magar siyahi ke tang halqon mein ghir gaya tha!
ki KHwab zanjir ban gae the
azab tabir ban gae the
kitab ka gard-posh jaise shikasta ho kar bikhar gaya ho
ye kis ibarat ke daere ab kisi shahadat ke nama-bar hain
falak se puchhun to kaise puchhun
ki marne wale ne zindagi ki talash ki thi
to maut taqdir kyun hui thi
wo hath kab tak qalam na honge
jo zard jismon ko nil-gun zaKHm de rahe hain
- Book : siip-volume-46 (Pg. 141)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.