december ki aawaz
december chīḳhtā hai jab ragoñ meñ
lutf se aarī pareshāñ mahfiloñ meñ
mujh ko vo badnām dushman yaad aatā hai
jo mere ḳhuun kā pyāsā galī se jab guzartā thā
mire a.asāb meñ ik sansanī sī dauḌ jaatī thī
maiñ is lamhe kī barham aag meñ jaltā huā
mahsūs kartā thā
maiñ zinda huuñ musalsal huuñ
maiñ zinda huuñ musalsal huuñ
vo dushman mar gayā
yā dostoñ aa aa milā
meñ sochtā huuñ pūchhtā huuñ
kaun batlā.egā
mere fikr aur ehsās kī be-samt rau
bahtī hai roz-o-shab
december chīḳhtā hai ab
kahāñ manzil kahāñ manzil
december chiKHta hai jab ragon mein
lutf se aari pareshan mahfilon mein
mujh ko wo badnam dushman yaad aata hai
jo mere KHun ka pyasa gali se jab guzarta tha
mere aasab mein ek sansani si dauD jati thi
main is lamhe ki barham aag mein jalta hua
mahsus karta tha
main zinda hun musalsal hun
main zinda hun musalsal hun
wo dushman mar gaya
ya doston aa aa mila
mein sochta hun puchhta hun
kaun batlaega
mere fikr aur ehsas ki be-samt rau
bahti hai roz-o-shab
december chiKHta hai ab
kahan manzil kahan manzil
- Book : Lambi Barish (Pg. 75)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.