december
sardī khāte daañt bajāte aa.e december baabā
rañg-birañge uunī kapḌe laa.e december baabā
sub.h-salonī garm chaa.e kī pyālī le kar dauḌī
kaisā thar-thar kaañp rahe haiñ haa.e december baabā
in kī dāḌhī chāñdī jaisī dhuup paḌe to chamke
lekin naTkhaT laḌkī sā chhup jaa.e december baabā
duur gagan par naT-khaT bādal sabhā sajāne baiThe
ujle ujle uun ke gole laa.e december baabā
sub.h suhānī shaam suhānī har pal na.ī kahānī
maze maze ke qisse le kar aa.e december baabā
kahīñ añgeThī kahīñ alaav haath tāpte jaao
mausam dauḌe aur pīchhe rah jaa.e december baabā
dīvāroñ par na.e calendar na.e manāzir hoñge
dauḌī dauḌī aa.ī january bye december baabā
sardi khate dant bajate aae december baba
rang-birange uni kapDe lae december baba
subh-saloni garm chae ki pyali le kar dauDi
kaisa thar-thar kanp rahe hain hae december baba
in ki daDhi chandi jaisi dhup paDe to chamke
lekin naTkhaT laDki sa chhup jae december baba
dur gagan par naT-khaT baadal sabha sajaane baiThe
ujle ujle un ke gole lae december baba
subh suhani sham suhani har pal nai kahani
maze maze ke qisse le kar aae december baba
kahin angeThi kahin alaw hath tapte jao
mausam dauDe aur pichhe rah jae december baba
diwaron par nae calendar nae manazir honge
dauDi dauDi aai january bye december baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.