decline
maiñ jiine kī tamannā le ke uThtī huuñ
magar jab din guzartā hai
sunahrī dhuup kī kirneñ kisī dariyā kināre par utartī shaam ke bikhre hue chamkīle bāloñ se lipaT kar sone lagtī haiñ
havā bezār ho kar phir thake panchhī kī bāñhoñ meñ simaT kar baiTh jaatī hai
zamīñ kā shor bhī tab rafta rafta maañd paḌtā hai
falak ke āḳhirī kone pe jis dam kuchh syāhī jhilmilātī hai
sitāre surma.ī se āsmānoñ kī bichhī chādar pe aise baiTh jaate haiñ
ki jaise Dūbte sūraj kī mayyat par sipāre paḌhne aa.e hoñ
tabhī ehsās hotā hai ki goyā zindagī bas ek din kī thī
main jine ki tamanna le ke uThti hun
magar jab din guzarta hai
sunahri dhup ki kirnen kisi dariya kinare par utarti sham ke bikhre hue chamkile baalon se lipaT kar sone lagti hain
hawa bezar ho kar phir thake panchhi ki banhon mein simaT kar baiTh jati hai
zamin ka shor bhi tab rafta rafta mand paDta hai
falak ke aaKHiri kone pe jis dam kuchh syahi jhilmilati hai
sitare surmai se aasmanon ki bichhi chadar pe aise baiTh jate hain
ki jaise Dubte suraj ki mayyat par sipare paDhne aae hon
tabhi ehsas hota hai ki goya zindagi bas ek din ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.