deh se pare
aisā kuchh zarūr hai
duniyā meñ jis kī parchhā.īñ nahīñ bantī
aksar dukh bhī
apne liye koī sāñcha talāsh kar lete haiñ
dukhoñ kī fitrat hī hotī hai
samay kī god meñ baiTh koī na koī ruup dhāran kar lenā
parchhā.īñ se pare bhī hotī
bahut se dukhoñ kī āvāz
āvāzeñ kahāñ chalī jaatī haiñ
kyā vo so jaatī haiñ chup ke siine meñ
bhāñs ban kar
haañ kuchh chīzeñ deh se pare zarūr haiñ
jin kī parchhā.īñ nahīñ hotī
jaise havā kā sisaknā
yā kisī dukh kā be-āvāz hote-hote
chīḳh meñ badal jaanā
to is chīḳh kī parchhā.īñ kahāñ hai
kahāñ hai us sisakne kī parchhā.īñ
aisa kuchh zarur hai
duniya mein jis ki parchhain nahin banti
aksar dukh bhi
apne liye koi sancha talash kar lete hain
dukhon ki fitrat hi hoti hai
samay ki god mein baiTh koi na koi rup dhaaran kar lena
parchhain se pare bhi hoti
bahut se dukhon ki aawaz
aawazen kahan chali jati hain
kya wo so jati hain chup ke sine mein
bhans ban kar
han kuchh chizen deh se pare zarur hain
jin ki parchhain nahin hoti
jaise hawa ka sisakna
ya kisi dukh ka be-awaz hote-hote
chiKH mein badal jaana
to is chiKH ki parchhain kahan hai
kahan hai us sisakne ki parchhain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.