dekhne wale ki uljhan
sūraj meñ jo chehre dekhe ab haiñ sapne samān
aur shuāoñ meñ uljhī sī
giile giile hoñToñ kī vo na.ī laal muskān
jaise kabhī na zinda the ye
chhoTī chhoTī īñToñ vaale ThanDe barf makān
kahāñ ga.ī vo shaam Dhale kī
sarsar kartī tez havā kī dil par khichī kamān
aur sapnā jo niiñd meñ laayā
puurī adhūrī ḳhvāhishoñ kā
ik dard bharā tūfān
kaise koī kar saktā hai in sab meñ pahchān
suraj mein jo chehre dekhe ab hain sapne saman
aur shuaon mein uljhi si
gile gile honTon ki wo nai lal muskan
jaise kabhi na zinda the ye
chhoTi chhoTi inTon wale ThanDe barf makan
kahan gai wo sham Dhale ki
sarsar karti tez hawa ki dil par khichi kaman
aur sapna jo nind mein laya
puri adhuri KHwahishon ka
ek dard bhara tufan
kaise koi kar sakta hai in sab mein pahchan
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.