der ho gai
ālam-panāh
ḳhair se bedār ho ga.e
ālam-panāh!....
ḳhair.....
kahāñ aap chal diye
raste tamām band hue
der ho ga.ī
aur kaisī dopahar meñ
ghanī raat ho ga.ī
fānūs
jhaaḌ
qumqume raushan nahīñ hue
aur tāqchoñ meñ baaqī nahīñ koī bhī charāġh
aur begamāt hujre se bāhar nikal paḌīñ
aur shāhzādiyoñ ke saroñ par nahīñ ridā
ye rañg-o-rūp
ye qad-o-qāmat
ye chashm o gosh
kyā rāste meñ farsh bichhāne ko koī hai
koī kanīz koī bhī ḳhādim nahīñ rahā?
shīrīni-e-latāfat-o-ārā.ish-e-hayāt
aur kyā hue vo nāz-o-nazākat ke shāhkār
dīvār par hai āyat-ul-kursī kā chaukhaTā
juzdān o jā-namāz masahrī ke paas hai
āñhkeñ uThā ke dekhne vaalā koī nahīñ
pahnā.e aa ke aap ko pā-posh kaun ab
masnad-nashīñ jo aap hoñ ye vaqt vo nahīñ
ye vaqt hai ajiib
ki mushkil baḌī hai ye
sho.arā
musāhibīn
asā-dā o ḳhāsa-dār
mīr-e-sipah
ġhulām bhī baaqī nahīñ rahe
jo jañg hone vaalī thī āġhāz ho chukī
jo raat Dhalne vaalī thī
kab kī vo Dhal chukī
shāhī-mahal ke paar to duniyā badal ga.ī
aur asp-e-shāh-gām to sab jaaT le ga.e
ālam-panāh
shahr to barbād gayā
aalam-panah
KHair se bedar ho gae
aalam-panah!
KHair
kahan aap chal diye
raste tamam band hue
der ho gai
aur kaisi dopahar mein
ghani raat ho gai
fanus
jhaD
qumqume raushan nahin hue
aur taqchon mein baqi nahin koi bhi charagh
aur begamat hujre se bahar nikal paDin
aur shahzadiyon ke saron par nahin rida
ye rang-o-rup
ye qad-o-qamat
ye chashm o gosh
kya raste mein farsh bichhane ko koi hai
koi kaniz koi bhi KHadim nahin raha?
shirini-e-latafat-o-araish-e-hayat
aur kya hue wo naz-o-nazakat ke shahkar
diwar par hai aayat-ul-kursi ka chaukhaTa
juzdan o ja-namaz masahri ke pas hai
aanhken uTha ke dekhne wala koi nahin
pahnae aa ke aap ko pa-posh kaun ab
masnad-nashin jo aap hon ye waqt wo nahin
ye waqt hai ajib
ki mushkil baDi hai ye
shoara
musahibin
asa-da o KHasa-dar
mir-e-sipah
ghulam bhi baqi nahin rahe
jo jang hone wali thi aaghaz ho chuki
jo raat Dhalne wali thi
kab ki wo Dhal chuki
shahi-mahal ke par to duniya badal gai
aur asp-e-shah-gam to sab jaT le gae
aalam-panah
shahr to barbaad gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.