dev-malayen sachchi hoti hain
ghaḌī do ghaḌī kī masarrat
ye sadiyoñ pe phailā huā dev-qissa hamāre lahū meñ ravāñ hai
kisī ghoñsle meñ se anDe churātā huā sūrmā
ek chīte se gur sīkhtā koī bachcha
kamāñ khīñchtā aur maada ko nāvak se nīche girātā huā
aag daryāft kartā huā koī laḌkā
ajab sūrateñ haiñ
shab-e-dāstañ-goī sadiyoñ pe phailī huī hai
havā marġh-zāroñ kī yaḳh-bastagī meñ nahīñ rah sakī
so yahāñ aa ga.ī hai ki apnā badan garm kar le
ye aag ab jibillat kī tartīb kā lāzima hai
bahīmāna ḳhaslat ko taskīn detā huā ek unsur
havā dev-malāoñ ke daur kī ek buḌhiyā hai
jis ko har ik dāstāñ yaad hai
ye ghaḌī do ghaḌī kī masarrat
jise dāstāñ-go kī bātoñ se ham ne kiyā hai kashīd
ek din aa.egā jab havā apne qisse meñ vo sūrateñ lā.egī
jin kā ā.īna ham haiñ
shab-e-dāstañ-goī meñ ham jo mab.hūt o hairān baiThe hue
dāstān sun rahe haiñ
kabhī ek ThiThurī huī raat meñ ham kahānī kā markaz baneñge
jo bachche adam haiñ
hameñ dāstāñ meñ ghirā dekh kar khilkhilā.eñge
mab.hūt-o-hairāñ hoñge
ghaDi do ghaDi ki masarrat
ye sadiyon pe phaila hua dew-qissa hamare lahu mein rawan hai
kisi ghonsle mein se anDe churaata hua surma
ek chite se gur sikhta koi bachcha
kaman khinchta aur mada ko nawak se niche giraata hua
aag daryaft karta hua koi laDka
ajab suraten hain
shab-e-dastan-goi sadiyon pe phaili hui hai
hawa margh-zaron ki yaKH-bastagi mein nahin rah saki
so yahan aa gai hai ki apna badan garm kar le
ye aag ab jibillat ki tartib ka lazima hai
bahimana KHaslat ko taskin deta hua ek unsur
hawa dew-malaon ke daur ki ek buDhiya hai
jis ko har ek dastan yaad hai
ye ghaDi do ghaDi ki masarrat
jise dastan-go ki baaton se hum ne kiya hai kashid
ek din aaega jab hawa apne qisse mein wo suraten laegi
jin ka aaina hum hain
shab-e-dastan-goi mein hum jo mabhut o hairan baiThe hue
dastan sun rahe hain
kabhi ek ThiThuri hui raat mein hum kahani ka markaz banenge
jo bachche adam hain
hamein dastan mein ghira dekh kar khilkhilaenge
mabhut-o-hairan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.