sunā hai maiñ ne
ki shahr kā ik ra.īs-zāda
sharat ke novel kā ek kirdār ban gayā hai
sharāb pī kar
vo ḳhaak chakloñ kī chhāntā hai
vo vaishyāoñ meñ apnī paaro ko DhūñDhtā hai
magar na paaro milī use to
vo bhī kyā ḳhud-kushī karegā
nahīñ
jiyegā
suna hai main ne
ki shahr ka ek rais-zada
sharat ke nowel ka ek kirdar ban gaya hai
sharab pi kar
wo KHak chaklon ki chhanta hai
wo waishyaon mein apni paro ko DhunDhta hai
magar na paro mili use to
wo bhi kya KHud-kushi karega
nahin
jiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.