dhabba
jaane kaise
aur kab
havā ko patā chalā
us dhabbe kā
jo chhupāyā gayā na dhoyā
jise tā-umr chhupāne ke liye
vo numāyāñ huī
vo ik lakīr
jo baḳht meñ likhī ga.ī
ain vast meñ badan ke khīñchī ga.ī
us kī beTī
ab tak ye sochtī hai
ye kis karam kā phal hai
kis jurm kī sazā
jaane kaise
aur kab
hawa ko pata chala
us dhabbe ka
jo chhupaya gaya na dhoya
jise ta-umr chhupane ke liye
wo numayan hui
wo ek lakir
jo baKHt mein likhi gai
ain wast mein badan ke khinchi gai
us ki beTi
ab tak ye sochti hai
ye kis karam ka phal hai
kis jurm ki saza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.