Dhalwan
ek nangī chīḳhtī āvāz
phir chābuk kā shor
khaḌkhaḌāte zang-ālūda se pahiyoñ kī sadā
aur maiñ āvāz ke aage jutā
merī āñkhoñ par naqāb
mere muñh meñ ḳhār-dār aahan kī jiib
mere baazū
saḳht chamḌe ke siyah rassoñ ke
barham jaal meñ jakḌe hue
aur mere sum
mire chāroñ rafīq
ghāTiyoñ se pattharoñ se be-ḳhatar
ḳhandaqoñ se be-niyāz
ek nangi chiKHti aawaz
phir chabuk ka shor
khaDkhaDate zang-aluda se pahiyon ki sada
aur main aawaz ke aage juta
meri aankhon par naqab
mere munh mein KHar-dar aahan ki jib
mere bazu
saKHt chamDe ke siyah rasson ke
barham jal mein jakDe hue
aur mere sum
mere chaaron rafiq
ghaTiyon se pattharon se be-KHatar
KHandaqon se be-niyaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.