dhanak
ek kuttā jhāḌiyoñ meñ lā-vāris nau-maulūd bachche kī hifāzat kar rahā thā
ek maañ apne nanhe bachche ke gaal par kājal kā Tiika lagā rahī thī
ek ma.asūm bachche kī uñglī pakaḌ kar ek būḌhā aur nā-bīnā shaḳhs
saḌak paar kar rahā thā
rāmish-o-rañg meñ Duubī huī barāt meñ hañdiyoñ ko apne saroñ par
mazdūr uThā.e hue the
merī āñkhoñ meñ aañsū the aur pālan-hār tū mujhe yaad aa rahā thā
dahī bilotī huī mushfiq maañ ke hoñToñ se shahd meñ gūñdhe hue
kajrī ke bol phuuT rahe the
sarkañDā haath meñ liye hue nañg-dhaḌañg charvāhā birhā kī taan lagā rahā thā
sūraj kī narm kirnoñ ke jhāle meñ dariyā kināre
sohnī bartan māñjh rahī thī
pūnam ke hiñDole par charḳha kāt.tī huī daadī maañ ko bachche DhūñD rahe the
merī āñkhoñ meñ aañsū the aur pālan-hār tū mujhe yaad aa rahā thā
fazā ke soup meñ dhuup ko pachhortī huī havā
mere khaprail meñ amrit uñDel ga.ī thī
gehūñ kī harī bāliyoñ raa.ī ke ujle bhūloñ sarsoñ kī niilī chunriyoñ
aur alsī kī niilī oḌhniyoñ ko dekh kar
mere abbā kī būḌhī āñkhoñ se jugnū girne lage the
nau-maulūd bachhḌe ke jism ko chāTtī huī gaa.e pahlū meñ ghaas liye khaḌī huī
merī amaañ ko kanakhiyoñ se dekh rahī thī
merī baajī apne hisse kā baasī daal bhaat bhūkī billī ko khilā rahī thī
merī āñkhoñ meñ aañsū the aur pālan-hār
tū mujhe yaad aa rahā thā
ek kutta jhaDiyon mein la-waris nau-maulud bachche ki hifazat kar raha tha
ek man apne nanhe bachche ke gal par kajal ka Tika laga rahi thi
ek masum bachche ki ungli pakaD kar ek buDha aur na-bina shaKHs
saDak par kar raha tha
ramish-o-rang mein Dubi hui baraat mein handiyon ko apne saron par
mazdur uThae hue the
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha
dahi biloti hui mushfiq man ke honTon se shahd mein gundhe hue
kajri ke bol phuT rahe the
sarkanDa hath mein liye hue nang-dhaDang charwaha birha ki tan laga raha tha
suraj ki narm kirnon ke jhaale mein dariya kinare
sohni bartan manjh rahi thi
punam ke hinDole par charKHa katti hui dadi man ko bachche DhunD rahe the
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha
faza ke soup mein dhup ko pachhorti hui hawa
mere khaprail mein amrit unDel gai thi
gehun ki hari baaliyon rai ke ujle bhulon sarson ki nili chunriyon
aur alsi ki nili oDhniyon ko dekh kar
mere abba ki buDhi aankhon se jugnu girne lage the
nau-maulud bachhDe ke jism ko chaTti hui gae pahlu mein ghas liye khaDi hui
meri aman ko kanakhiyon se dekh rahi thi
meri baji apne hisse ka basi dal bhat bhuki billi ko khila rahi thi
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar
tu mujhe yaad aa raha tha
- Book : doob (Pg. 126)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.