dharm-o-iman
bahut din se vatan meñ ik mahāz-e-jañg qaa.em hai
kahīñ hai dharm ko ḳhatra kahīñ īmān ko ḳhatra
bapā hai saḳht tūfāñ rūnumā haiñ saḳht hañgāme
kahīñ hai ved ko ḳhatra kahīñ qur.ān ko ḳhatra
kahīñ masjid ko ḳhatra hai shivāle ke mahantoñ se
kahīñ hai ḳhānqah vāloñ se dev asthān ko ḳhatra
kahīñ muslim ko ḳhatra apne īmānī tahaffuz kā
kahīñ hindū ke pūjā-pāT ke sammān ko ḳhatra
kahīñ shuddhī ke parchārak ko ḳhatra dharm rakshā kā
kahīñ tablīġh ke jhanDe kī ān-bān ko ḳhatra
nahīñ hotā koī aisā minute chaubīs ghanTe meñ
na rahtā ho vatan vāloñ ke māl-o-jān ko ḳhatra
ye saarī pesh-bañdī hai faqat is baat kī ḳhātir
ki lāhaq ho na british raaj ke aivān ko ḳhatra
ye Thekedār diin aur dharm ke is ke bhī zāmin haiñ
na paidā ho mafād-e-ahal-e-inglistān ko ḳhatra
ye ḳhāna-jañgiyāñ jitnī haiñ sab kā mudda.ā ye hai
na hargiz rūnumā ho jaan bal kī jaan ko ḳhatra
ġhulāmān-e-azal ya.anī ye jhūTe peshvā-e-dīñ
lagā rahtā hai har dam jin ke dastar-ḳhvān ko ḳhatra
vo kab chāheñge koī is tarah kā inqalāb aa.e
ki ho mahsūs un ke amn-o-itmīnān ko ḳhatra
hamārā farz hai ham un lafangoñ ko fanā kar deñ
ki hai un sab ke sab se aam hindostān ko ḳhatra
bahut din se watan mein ek mahaz-e-jang qaem hai
kahin hai dharm ko KHatra kahin iman ko KHatra
bapa hai saKHt tufan runuma hain saKHt hangame
kahin hai wed ko KHatra kahin quran ko KHatra
kahin masjid ko KHatra hai shiwale ke mahanton se
kahin hai KHanqah walon se dew asthan ko KHatra
kahin muslim ko KHatra apne imani tahaffuz ka
kahin hindu ke puja-paT ke samman ko KHatra
kahin shuddhi ke parchaarak ko KHatra dharm raksha ka
kahin tabligh ke jhanDe ki aan-ban ko KHatra
nahin hota koi aisa minute chaubis ghanTe mein
na rahta ho watan walon ke mal-o-jaan ko KHatra
ye sari pesh-bandi hai faqat is baat ki KHatir
ki lahaq ho na british raj ke aiwan ko KHatra
ye Thekedar din aur dharm ke is ke bhi zamin hain
na paida ho mafad-e-ahal-e-inglistan ko KHatra
ye KHana-jangiyan jitni hain sab ka muddaa ye hai
na hargiz runuma ho jaan bal ki jaan ko KHatra
ghulaman-e-azal yani ye jhuTe peshwa-e-din
laga rahta hai har dam jin ke dastar-KHwan ko KHatra
wo kab chahenge koi is tarah ka inqalab aae
ki ho mahsus un ke amn-o-itminan ko KHatra
hamara farz hai hum un lafangon ko fana kar den
ki hai un sab ke sab se aam hindostan ko KHatra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.