dharti amar hai
zarā āhista bol
āhista
dhartī sahm jā.egī
ye dhartī phuul aur kaliyoñ kī sundar saj hai nādāñ
garaj kar bolne vāloñ se kaliyāñ ruuTh jaatī haiñ
zarā āhista chal
āhista
dhartī maañ kā hirdai hai
isī hirdai meñ tere vāste bhī pyaar hai nādāñ
burā hotā hai jab dhartī kisī se tañg aatī hai
tirī āvāz
jaise baḌh rahe hoñ jañg ke shole
tirī chaal
aaj hī goyā uTheñge hashr ke fitne
magar nādān ye phūloñ kī dhartī ġhair-fānī hai
ka.ī jañgeñ huiiñ lekin zamīñ ab tak suhānī hai
zara aahista bol
aahista
dharti sahm jaegi
ye dharti phul aur kaliyon ki sundar saj hai nadan
garaj kar bolne walon se kaliyan ruTh jati hain
zara aahista chal
aahista
dharti man ka hirdai hai
isi hirdai mein tere waste bhi pyar hai nadan
bura hota hai jab dharti kisi se tang aati hai
teri aawaz
jaise baDh rahe hon jang ke shole
teri chaal
aaj hi goya uThenge hashr ke fitne
magar nadan ye phulon ki dharti ghair-fani hai
kai jangen huin lekin zamin ab tak suhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.