jis shaḳhs ke malbūs kī qismat meñ likhī hai
kirnoñ kī tamāzat
rashk aatā hai mujh ko
us par
kyuuñ sirf achhūtā
anjān anokhā
ik ḳhvāb hai ḳhalvat
kyuuñ sirf tasavvur
bahlātā hai mujh ko
kyuuñ sub.h-e-shab-e-aish kā jhoñkā
ban kar
ruḳhsār ke be-nām aziyyat
sahlātā hai mujh ko?
kyuuñ ḳhvāb-e-fusūñ-gar kī qubā chaak nahīñ hai
kyuuñ gesu-e-pechīda-o-raqsāñ
namnāk nahīñ hai
ashk-e-dil-e-ḳhūñ se
kyuuñ lams kī hasrat ke junūñ se
miltī nahīñ mujh ko
be-qaid rihā.ī
malbūs pe kirnoñ kī tamāzat
hai daam nazar kā
aur sub.h-e-shab-e-aish ko gesū kā mahaktā huā jhoñkā
marhūn sahar kā
hotā hī nahīñ hai
kyuuñ dho.e na pairāhan-e-ālūda ke dhabbe
maḳhmūr-e-masarrat
kirnoñ kī tamāzat
ban jaa.e na kyuuñ rañg-e-shab-e-aish kā ik aks-e-musalsal
majbūr-e-aziyyat
to maan le is aks kā manzar
detā hai tujhe jām-e-chashīda kī sī lazzat
kyuuñ soch rahā hai
jhūTā hai ye pyāla
kyā aaj zamāne meñ kahīñ dekhī hai tū ne
doshīza masarrat?
phaile hue malbūs pe kirnoñ kī tamāzat
hai ziist ke gesū kī harārat
is shaḳhs ko pairāhan-e-ālūda ke dhone hī se rozī
miltī hai jahāñ meñ
to us pe nazar kar
jis shaKHs ke malbus ki qismat mein likhi hai
kirnon ki tamazat
rashk aata hai mujh ko
us par
kyun sirf achhuta
anjaan anokha
ek KHwab hai KHalwat
kyun sirf tasawwur
bahlata hai mujh ko
kyun subh-e-shab-e-aish ka jhonka
ban kar
ruKHsar ke be-nam aziyyat
sahlata hai mujh ko?
kyun KHwab-e-fusun-gar ki quba chaak nahin hai
kyun gesu-e-pechida-o-raqsan
namnak nahin hai
ashk-e-dil-e-KHun se
kyun lams ki hasrat ke junun se
milti nahin mujh ko
be-qaid rihai
malbus pe kirnon ki tamazat
hai dam nazar ka
aur subh-e-shab-e-aish ko gesu ka mahakta hua jhonka
marhun sahar ka
hota hi nahin hai
kyun dhoe na pairahan-e-aluda ke dhabbe
maKHmur-e-masarrat
kirnon ki tamazat
ban jae na kyun rang-e-shab-e-aish ka ek aks-e-musalsal
majbur-e-aziyyat
to man le is aks ka manzar
deta hai tujhe jam-e-chashida ki si lazzat
kyun soch raha hai
jhuTa hai ye pyala
kya aaj zamane mein kahin dekhi hai tu ne
doshiza masarrat?
phaile hue malbus pe kirnon ki tamazat
hai zist ke gesu ki hararat
is shaKHs ko pairahan-e-aluda ke dhone hi se rozi
milti hai jahan mein
to us pe nazar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.