dhoka
mulzim pakaḌne meñ jo maza hai
is se zyāda
shāyad mujrim hone meñ hai
ġhaar ke andar kyā hai
ġhaar ke bāhar se sochnā
achchhā nahīñ lagtā
purāne patthar par
kanda usuul jānñe ko
bhūkoñ kā hissa ḳharch karnā
kyā zarūrī hai
riiḌh se lagā peT
ashlok se nahīñ bhartā
itnā jānñe ko
ġhaar meñ jaanā kyā zarūrī hai
tum zarā socho
maiñ ġhaar ho kar aatā huuñ
mulzim pakaDne mein jo maza hai
is se zyaada
shayad mujrim hone mein hai
ghaar ke andar kya hai
ghaar ke bahar se sochna
achchha nahin lagta
purane patthar par
kanda usul jaanne ko
bhukon ka hissa KHarch karna
kya zaruri hai
riDh se laga peT
ashlok se nahin bharta
itna jaanne ko
ghaar mein jaana kya zaruri hai
tum zara socho
main ghaar ho kar aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.