Dhol wala
us ne ġhurbat ke badan pe
basantī cholā piilī pagḌī
aur sunahrī jacket sajā.ī hai
vo TuuTī kursī pe
bosīda Dhol se pair Tikā.e
udhḌā vaqt
sabr ke dhāge se siitā hai
sajī-sañvarī gaaḌī
paas se guzre to
aas aañkh meñ chamaktī hai
us kī bhuuk lapaktī hai
apnī ḳhushiyoñ ke āñgan meñ
Dhol kī thaap par
us ke ġham ko nāchtā dekh rahī huuñ
maiñ soch rahī huuñ
us kī dūkān kā mahñgā saudā
kitne saste daam bikā hai
us ne ghurbat ke badan pe
basanti chola pili pagDi
aur sunahri jacket sajai hai
wo TuTi kursi pe
bosida Dhol se pair Tikae
udhDa waqt
sabr ke dhage se sita hai
saji-sanwari gaDi
pas se guzre to
aas aankh mein chamakti hai
us ki bhuk lapakti hai
apni KHushiyon ke aangan mein
Dhol ki thap par
us ke gham ko nachta dekh rahi hun
main soch rahi hun
us ki dukan ka mahnga sauda
kitne saste dam bika hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.