dhuan
vo qahva-ḳhāne meñ aayā
aur hamārī mez ke kināre bin pūchhe hī baiTh gayā
ham bātoñ meñ kho.e hue the
soch rahe the duniyā kyā hai
kyā ye stage hai jis par jīvan kā naTak hotā hai
kyā ham is be-nām Darāme ke haiñ bas farzī kirdār?
uljhī thī apnī guftār
aur achānak vo nau-vārid
cigarette kā ek gahrā sā kash le kar uTThā
ham logoñ ko ġhaur se dekhā
aur ye kah kar jaane lagā
tum sab itnā soch rahe ho
mujh se pūchho duniyā kyā hai
ham ne sochā baat karegā
lekin ek barqī sur.at se vo nau-vārid jā bhī chukā thā
(baire ne batlāyā sāhib! aane vaalā dīvāna thaa)
ab ham log ye soch rahe the
vo to ḳhair ek farzānā thā
lekin ham is fikr ke hāthoñ ik din pāgal ho jā.eñge
cigarette aur kaafī dhueñ meñ uḌ kar bādal ho jā.eñge!!
wo qahwa-KHane mein aaya
aur hamari mez ke kinare bin puchhe hi baiTh gaya
hum baaton mein khoe hue the
soch rahe the duniya kya hai
kya ye stage hai jis par jiwan ka naTak hota hai
kya hum is be-nam Darame ke hain bas farzi kirdar?
uljhi thi apni guftar
aur achanak wo nau-warid
cigarette ka ek gahra sa kash le kar uTTha
hum logon ko ghaur se dekha
aur ye kah kar jaane laga
tum sab itna soch rahe ho
mujh se puchho duniya kya hai
hum ne socha baat karega
lekin ek barqi surat se wo nau-warid ja bhi chuka tha
(baire ne batlaya sahib! aane wala diwana tha)
ab hum log ye soch rahe the
wo to KHair ek farzana tha
lekin hum is fikr ke hathon ek din pagal ho jaenge
cigarette aur kafi dhuen mein uD kar baadal ho jaenge!!
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 173)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.