dhuen ke phul
gum-shuda qurbateñ
maqtal-e-vaqt kī pahlī chaukhaT pe sar ko jhukā.e hue
apnī be-qāmatī par karāheñ zarā
rānda-e-ḳhair-o-shar huuñ
magar is ghaḌī
rat-jagoñ ke liye
saare hañste hue zaḳhm le ā.uñgā
ik na.e din kā āġhāz ho jā.egā
ḳhirman-e-dil meñ ḳhushbū mahak jā.egī
gum-shuda qurbaten
maqtal-e-waqt ki pahli chaukhaT pe sar ko jhukae hue
apni be-qamati par karahen zara
randa-e-KHair-o-shar hun
magar is ghaDi
rat-jagon ke liye
sare hanste hue zaKHm le aaunga
ek nae din ka aaghaz ho jaega
KHirman-e-dil mein KHushbu mahak jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.