dhund achchhi hai
dhund achchhī hai
mire zehn kī ham-zād hai dhund
dhund achchhī hai
har ik jabr se āzād hai dhund
dhund meñ Duube hue ḳhaar o gul o sañg o zujāj achchhe haiñ
ek ib.hām meñ tahlīl hue jaate haiñ manzar saare
parda-e-zehn pe kajlā.e hue shahr kī tasvīr hai dhund
ḳhvāb meñ dekhe hue ḳhvāb kī ta.abīr hai dhund
haañ magar dhund ke us paar chamaktā sūraj
tund-ḳhū sho.ala-nafas hoñkte murkkab pe savār
apnī hiire kī kanī aisī anī le ke baḌhā aatā hai
dhund achchhi hai
mere zehn ki ham-zad hai dhund
dhund achchhi hai
har ek jabr se aazad hai dhund
dhund mein Dube hue KHar o gul o sang o zujaj achchhe hain
ek ibham mein tahlil hue jate hain manzar sare
parda-e-zehn pe kajlae hue shahr ki taswir hai dhund
KHwab mein dekhe hue KHwab ki tabir hai dhund
han magar dhund ke us par chamakta suraj
tund-KHu shoala-nafas honkte murkkab pe sawar
apni hire ki kani aisi ani le ke baDha aata hai
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.