dhuniya
phindak phindak phindak phak
dhunak dhunak dhun dhunak dhunak
taañt bajī aur niklā raag
ruī banī sābun kā jhaag
kaisī chhantī jaatī hai
bādal bantī jaatī hai
kitnā Dher huā aahā
maiñ is Dher pe kūduñgā
koī choT na aa.egī
ruuī magar dab jā.egī
ittī ruuī itnā Dher
ho ga.ī bārah terah ser
le ab ruuī ho ga.ī saaf
bhar le takiye aur lihāf
in se sab sukh paate haiñ
oḌhte aur bichhāte haiñ
miltā hai sab ko ārām
vaah re dhuniye terā kaam
vaah rī dhunkī dhunak dhunak
phindak phindak phak phak phak
phindak phindak phindak phak
dhunak dhunak dhun dhunak dhunak
tant baji aur nikla rag
rui bani sabun ka jhag
kaisi chhanti jati hai
baadal banti jati hai
kitna Dher hua aaha
main is Dher pe kudunga
koi choT na aaegi
rui magar dab jaegi
itti rui itna Dher
ho gai barah terah ser
le ab rui ho gai saf
bhar le takiye aur lihaf
in se sab sukh pate hain
oDhte aur bichhate hain
milta hai sab ko aaram
wah re dhuniye tera kaam
wah ri dhunki dhunak dhunak
phindak phindak phak phak phak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.