dhup-bhari ajrak
us ne mujhe dhūp-bharī ajrak pesh kī
maiñ ne us dhuup ko apnī zamīn par rakhā
kapās aur khajūr ugaa.ī
khajūr se sharāb aur kapās se apnī mahbūba ke liye
mahīn malmal kaatī
malmal ne us ke badan ko chhuā
us par phuul nikal aa.e
sharāb ko zamīn meñ dabāyā
us par taaḌ ke daraḳht ug aa.e
is ne mujhe dhūp-bharī ajrak pesh kī
maiñ ne us dhuup ko apne dil par rakhā
jo sarsoñ kā phuul ban ga.ī
us phuul se ek mausam paidā huā
jis kā naam maiñ ne ishq aur saḳhāvat kā mausam rakh diyā
us mausam ke biij se ek rāsta
us ke ghar kī taraf niklā
us biij se pāñch kabūtar nikle
bharī huī gāgar vaale faqīr ke rauze par jā kar baiTh ga.e
us ne mujhe dhuup se bharī ajrak pesh kī
maiñ ne use tumhāre ghar ke ziine par phailā diyā
taaki tum dhuup kī sīḌhiyoñ se mere dil meñ utar sako
mujhe yaad hai kabhī na kabhī kahīñ na kahīñ
merā sitāra tumhāre sitāre ke qarīb se guzrā hai
us ne mujhe dhūp-bharī ajrak pesh kī
maiñ ne use samundar meñ phailā diyā
havā ne us kā ras chūsā
aur mad.hosh ho kar bādbānoñ se lipaT ga.ī
samundar ke andar ek aur samundar niiñd se jaagā
donoñ ek dūsre ke ḳharosh meñ
der tak is dhuup meñ āñkheñ mūñde leTe rahe
is ne mujhe dhūp-bharī ajrak pesh kī
phir maiñ ne vo ajrak shahbāz qalandar ke ek
faqīr ko de dī
us ne mujhe duā kā ek bādal diyā
maiñ jise apne sar par liye phirtā huuñ
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne us dhup ko apni zamin par rakha
kapas aur khajur ugai
khajur se sharab aur kapas se apni mahbuba ke liye
mahin malmal kati
malmal ne us ke badan ko chhua
us par phul nikal aae
sharab ko zamin mein dabaya
us par taD ke daraKHt ug aae
is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne us dhup ko apne dil par rakha
jo sarson ka phul ban gai
us phul se ek mausam paida hua
jis ka nam main ne ishq aur saKHawat ka mausam rakh diya
us mausam ke bij se ek rasta
us ke ghar ki taraf nikla
us bij se panch kabutar nikle
bhari hui gagar wale faqir ke rauze par ja kar baiTh gae
us ne mujhe dhup se bhari ajrak pesh ki
main ne use tumhaare ghar ke zine par phaila diya
taki tum dhup ki siDhiyon se mere dil mein utar sako
mujhe yaad hai kabhi na kabhi kahin na kahin
mera sitara tumhaare sitare ke qarib se guzra hai
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne use samundar mein phaila diya
hawa ne us ka ras chusa
aur madhosh ho kar baadbanon se lipaT gai
samundar ke andar ek aur samundar nind se jaga
donon ek dusre ke KHarosh mein
der tak is dhup mein aankhen munde leTe rahe
is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
phir main ne wo ajrak shahbaz qalandar ke ek
faqir ko de di
us ne mujhe dua ka ek baadal diya
main jise apne sar par liye phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.