dhup chhanw ke darmiyan
ye zindagī
guloñ kī ek sej hai
na ḳhār-o-ḳhas kā Dher hai
bas ek imtihān kā
latīf sā savāl hai
savāl kā javāb to muhāl hai
bas itnā hī samajh leñ ham
ki ziist dhuup chhāñv hai
kahīñ pe ye nasheb to kahīñ pe ye farāz hai
jahāñ biThā.e ye hameñ
vahīñ pe ham bisāt-e-zāt Daal kar
kiran kiran se
kuchh na kuchh harārateñ nichoḌ leñ
tamāzateñ sameT leñ kuchh is tarah
ki chhāñv kī ināyatoñ bashāratoñ
kā ik yaqīñ bhī saath ho!
ye zindagi
gulon ki ek sej hai
na KHar-o-KHas ka Dher hai
bas ek imtihan ka
latif sa sawal hai
sawal ka jawab to muhaal hai
bas itna hi samajh len hum
ki zist dhup chhanw hai
kahin pe ye nasheb to kahin pe ye faraaz hai
jahan biThae ye hamein
wahin pe hum bisat-e-zat Dal kar
kiran kiran se
kuchh na kuchh hararaten nichoD len
tamazaten sameT len kuchh is tarah
ki chhanw ki inayaton bashaaraton
ka ek yaqin bhi sath ho!
- Book : dhoop ke pudey (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.