dhup ke sae
shaam dulhan kī tarah
apne rañgoñ meñ nahā.ī huī sharmā.ī huī baiThī hai
gosha-e-chashm se kājal kī syāhī abhī aañsū ban kar
bahte ġhāze meñ nahīñ jazb huī
abhī khoī nahīñ bāloñ kī dil-afroz pareshānī meñ
muskurātī huī sindūr kī maañg
ghulte rañgoñ meñ abhī kāhish-e-jāñ baaqī hai
ghulte rañgoñ kā koī kyā jaane
kab miTeñ kaise miTeñ
shab kī tārīkiyāñ har samt bikhar jaa.eñ to ārām mile
ye chamakte hue zarre na raheñ
zauq-e-tamāshā na rahe
koī tamannā na rahe
ik kiran chhoḌ ke jaatī hī nahīñ
chashm-gīñ kartī huī khel rahī hai ab tak
zard-rū ghaas ke siine pe thiraktī huī baḌh jaatī hai
sañg-rezo kī nigāhoñ meñ chamaktī huī lauT aatī hai
koī samjhā.e use jaao chalī jaao yahāñ ab kyā hai
dhuup ke kāñpte sāyoñ ko zarā baḌhne do
shab kī tārīkiyāñ chhā jaane do
maiñ ne sau baar kahā ek na maanī us ne
muskurātī huī shāḳhoñ pe laraztī hī rahī
yuuñ bhī taḌpāne meñ ik lutf to hai soz to hai
rañg ghulte haiñ ghuleñge āḳhir
ghulte rañgoñ kā koī kyā jaane
kab miTeñ kaise miTeñ
apne rañgoñ meñ nahā.ī huī sharmā.ī huī
shaam dulhan kī tarah baiThī rahī baiThī rahī
sham dulhan ki tarah
apne rangon mein nahai hui sharmai hui baiThi hai
gosha-e-chashm se kajal ki syahi abhi aansu ban kar
bahte ghaze mein nahin jazb hui
abhi khoi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein
muskuraati hui sindur ki mang
ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai
ghulte rangon ka koi kya jaane
kab miTen kaise miTen
shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile
ye chamakte hue zarre na rahen
zauq-e-tamasha na rahe
koi tamanna na rahe
ek kiran chhoD ke jati hi nahin
chashm-gin karti hui khel rahi hai ab tak
zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui baDh jati hai
sang-rezo ki nigahon mein chamakti hui lauT aati hai
koi samjhae use jao chali jao yahan ab kya hai
dhup ke kanpte sayon ko zara baDhne do
shab ki tarikiyan chha jaane do
main ne sau bar kaha ek na mani us ne
muskuraati hui shaKHon pe larazti hi rahi
yun bhi taDpane mein ek lutf to hai soz to hai
rang ghulte hain ghulenge aaKHir
ghulte rangon ka koi kya jaane
kab miTen kaise miTen
apne rangon mein nahai hui sharmai hui
sham dulhan ki tarah baiThi rahi baiThi rahi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 107)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.