Diary
raddī aḳhbār kī tarah
mujhe bech diyā gayā
ek kabāḌī ke hāthoñ
tarāzuoñ meñ tol kar
us ne merī qīmat aañk dī
ḳhūb-sūrat jild
jis par merā unvān likhā thā
us ne noch pheñkī
vazn baḌhāne vaalā gatte kā TukḌā
use qubūl nahīñ thā
maiñ be-nām ho ga.ī
mere aurāq phaḌphaḌā uThe
kasmasā uThe
tab ek bhārī baaT
dhar diyā gayā mujh par
aur maiñ
na.ī taaza havā se
mahrūm ho ga.ī
raddī ke gaTThar ke saath vo kabāḌī
mujhe apne ghar le gayā
vahāñ merā ek ek varaq phāḌā gayā
lifāfe banā.e ga.e
haldī dhaniya aur mirch
rakhne ke liye
māhir uñgliyāñ lifāfe banā rahī thiiñ
mere safhoñ par likhī ibārateñ
TūT-phūT kar sāmne aa rahī thiiñ
kyā ġhazab hai nahīñ insān ko insān kī qadr
har farishte ko ye hasrat hai ki insāñ hotā
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
qaid-o-hayāt-o-band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
āḳhirī varaq ko
ek bachche ne uThā liyā
khel khel meñ havā.ī jahāz banā kar
āsmān meñ uḌā diyā
is par likhā thā
maiñ kahāñ ruktā huuñ arsh-o-farsh kī āvāz se
mujh ko jaanā hai bahut ūñchā had-e-parvāz se
raddi aKHbar ki tarah
mujhe bech diya gaya
ek kabaDi ke hathon
taraazuon mein tol kar
us ne meri qimat aank di
KHub-surat jild
jis par mera unwan likha tha
us ne noch phenki
wazn baDhane wala gatte ka TukDa
use qubul nahin tha
main be-nam ho gai
mere auraq phaDphaDa uThe
kasmasa uThe
tab ek bhaari baT
dhar diya gaya mujh par
aur main
nai taza hawa se
mahrum ho gai
raddi ke gaTThar ke sath wo kabaDi
mujhe apne ghar le gaya
wahan mera ek ek waraq phaDa gaya
lifafe banae gae
haldi dhaniya aur mirch
rakhne ke liye
mahir ungliyan lifafe bana rahi thin
mere safhon par likhi ibaraten
TuT-phuT kar samne aa rahi thin
kya ghazab hai nahin insan ko insan ki qadr
har farishte ko ye hasrat hai ki insan hota
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
qaid-o-hayat-o-band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun
aaKHiri waraq ko
ek bachche ne uTha liya
khel khel mein hawai jahaz bana kar
aasman mein uDa diya
is par likha tha
main kahan rukta hun arsh-o-farsh ki aawaz se
mujh ko jaana hai bahut uncha had-e-parwaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.