Diary ka ek Khaali safha
maiñ dekh rahā huuñ
ek film jis meñ
logoñ kī niiñd
kisī ne churā lī hai
maiñ khīñch rahā huuñ
ek shab jis meñ
ghuñghrū mere
paañv se alāhida
kar liye ga.e
maiñ DhūñD rahā huuñ
ek na.ī naukrī
jis meñ mujhe
part Time meñ
mohabbat karne
kī ijāzat ho
maiñ chhoḌ rahā huuñ
diary kā ek ḳhālī saf.ha
jis par koī bhī
kuchh bhī likh saktā hai
maiñ chun rahā huuñ
vo patthar jo auratoñ
ko sañgsār karte
hue bach jaate haiñ
maiñ bhuul rahā huuñ vo shaḳhs
jo mujhe tohfe meñ
apnī dīvār de kar mar gayā
maiñ pheñk rahā huuñ
apnā naam us rāste
par jahāñ se kal
merā janāza guzārā
jā.egā
maiñ Draw kar rahā huuñ
ek pahāḌ jis par se kuud
kar maiñ apnī jaan
de dūñgā
main dekh raha hun
ek film jis mein
logon ki nind
kisi ne chura li hai
main khinch raha hun
ek shab jis mein
ghunghru mere
panw se alahida
kar liye gae
main DhunD raha hun
ek nai naukri
jis mein mujhe
part Time mein
mohabbat karne
ki ijazat ho
main chhoD raha hun
diary ka ek KHali safha
jis par koi bhi
kuchh bhi likh sakta hai
main chun raha hun
wo patthar jo auraton
ko sangsar karte
hue bach jate hain
main bhul raha hun wo shaKHs
jo mujhe tohfe mein
apni diwar de kar mar gaya
main phenk raha hun
apna nam us raste
par jahan se kal
mera janaza guzara
jaega
main Draw kar raha hun
ek pahaD jis par se kud
kar main apni jaan
de dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.