dida-e-tar
tum mire koī nahīñ
aur ye nannhī sī jaañ
kaun hai? koī nahīñ
maiñ bhī tum donoñ ko shāyad
ajnabī lagtā huuñ shāyad kuchh nahīñ
ain-mumkin hai ki roz-e-hashr ke imkān se hī qabl ham
apne apne rāstoñ par
roz o shab chalte hue
reg-e-nā-mālūm ke tūfān meñ
aise bichhḌeñ
phir kabhī na mil sakeñ
ye jo lamha baḳht meñ likkhā hai ham sab ke ḳhudā ne
qurb kaa, rañg-e-tamāzat kaa, lahū ke rañg kā
kaash us lamhe meñ ham
band kar leñ apnī āñkhoñ meñ hasīñ chehre shagūfe
qahqahe, raushan sitāre
lahlahāte jism
mauj-e-barq sho.aloñ kā tamavvuj
maut ke, taḳhlīq ke asrār sab
ḳhāna-e-maujūd un sab ke liye
ab hamāre dīda-e-tar ke sivā kuchh bhī nahīñ
rasm-e-ruḳhsat bhī kabhī hogī magar
lamhā-e-benām kī tahvīl meñ
ghar, ye sach hai, muḳhtasar hai
is fanā-anjām jalte muḳhtasar ghar ke sivā kuchh bhī nahīñ
tum mere koi nahin
aur ye nannhi si jaan
kaun hai? koi nahin
main bhi tum donon ko shayad
ajnabi lagta hun shayad kuchh nahin
ain-mumkin hai ki roz-e-hashr ke imkan se hi qabl hum
apne apne raston par
roz o shab chalte hue
reg-e-na-malum ke tufan mein
aise bichhDen
phir kabhi na mil saken
ye jo lamha baKHt mein likkha hai hum sab ke KHuda ne
qurb ka, rang-e-tamazat ka, lahu ke rang ka
kash us lamhe mein hum
band kar len apni aankhon mein hasin chehre shagufe
qahqahe, raushan sitare
lahlahate jism
mauj-e-barq shoalon ka tamawwuj
maut ke, taKHliq ke asrar sab
KHana-e-maujud un sab ke liye
ab hamare dida-e-tar ke siwa kuchh bhi nahin
rasm-e-ruKHsat bhi kabhi hogi magar
lamha-e-benam ki tahwil mein
ghar, ye sach hai, muKHtasar hai
is fana-anjam jalte muKHtasar ghar ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.