didani
merī palkoñ ko mat dekho
in kā uThnā in kā jhapaknā jism kā nā-mahsūs amal hai
merī āñkhoñ ko mat dekho
in kī oT meñ shām-e-ġharībāñ in kī aaḌ meñ dasht-e-azal hai
mere chehre ko mat dekho
is meñ koī vāda-e-fardā is meñ koī aaj na kal hai
ab is dariyā tak mat aao jis kī lahreñ TuuT chukī haiñ
is siine se lau na lagāo jis kī nabzeñ chhūT chukī haiñ
ab mere qātil ko chāho
merā qātil marham marham dariyā dariyā sāhil sāhil
qāzi-e-shahr kā māthā chūmo
jis ke qalam meñ zahr-e-halāhal jis ke suḳhan meñ lahn-e-halāhal
ab us raqs kī dhun pe nācho
jis kī giit pe luT gayā qaazī jis kī lai par bik gayā qātil
meri palkon ko mat dekho
in ka uThna in ka jhapakna jism ka na-mahsus amal hai
meri aankhon ko mat dekho
in ki oT mein sham-e-ghariban in ki aaD mein dasht-e-azal hai
mere chehre ko mat dekho
is mein koi wada-e-farda is mein koi aaj na kal hai
ab is dariya tak mat aao jis ki lahren TuT chuki hain
is sine se lau na lagao jis ki nabzen chhuT chuki hain
ab mere qatil ko chaho
mera qatil marham marham dariya dariya sahil sahil
qazi-e-shahr ka matha chumo
jis ke qalam mein zahr-e-halahal jis ke suKHan mein lahn-e-halahal
ab us raqs ki dhun pe nacho
jis ki git pe luT gaya qazi jis ki lai par bik gaya qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.