didani thi shikastagi dil ki
chāhe jis taur bayāñ kījiye afsāna-e-dard
jism ko ḳhauf bahut jaan ko andeshe the
chāhe jis taur raqam kiije girāñ-jānī-e-dil
ḳhuuñ meñ hañgāma bahut raah meñ vīrāne the
laakh chāhā dil-e-muztar kī kashākash se sivā
raqs-e-be-parva-o-bebāk kā āġhāz karūñ
ḳhūn-e-dil ashk karūñ ashk guhar-tāb karūñ
pas-e-dīvār-e-qafas sīna-e-dil chaak karūñ
laakh chāhā dil-e-shorīda pe mashkeñ thī bahut
lab-e-mushtāq pe būToñ kī zabāñ rakkhī thī
jaan ghabrātī thī andoh se tan meñ kyā kyā
jaan ghabrātī hai andoh se tan meñ kyā kyā
chahe jis taur bayan kijiye afsana-e-dard
jism ko KHauf bahut jaan ko andeshe the
chahe jis taur raqam kije giran-jaani-e-dil
KHun mein hangama bahut rah mein virane the
lakh chaha dil-e-muztar ki kashakash se siwa
raqs-e-be-parwa-o-bebak ka aaghaz karun
KHun-e-dil ashk karun ashk guhar-tab karun
pas-e-diwar-e-qafas sina-e-dil chaak karun
lakh chaha dil-e-shorida pe mashken thi bahut
lab-e-mushtaq pe buTon ki zaban rakkhi thi
jaan ghabraati thi andoh se tan mein kya kya
jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.